Akhtar Raza Saleemi

Akhtar Raza Saleemi



Dil-o-Nigah Pe Taari Rahe Fasoo’n Is Ka

Dil o nigah pe taari rahe fasoo’n is ka,
Tumhara ho ke bhi mumkin hai mein rahoon us ka,
Tujhe khabar nahin is baat ki abhi shayed,
Ke tera ho to geya hoon magar mein hoon us ka,
Ab is se qata-taluq mein behtri hai meri,
Main apna reh nahin sakta agar rahoon us ka,
Zameen ki khaak to kab ki urraa chuke hain hum,
Hamari zadd mein hai ab chiraag neel’gon us ka,
Dil-e-tabaah ki dharkan bata rahi hai Raza,
Yahin kahin pe hai woh sheher pur’sakoon us ka..

Teri tamana mein katt gayi

Ab tak tou kher teri tamana mein katt gayi,
Tu mil gaya tou sochta hon kya karon ga mein..


No comments: