Bashir Badr Poetry

Bashir Badr Poetry

Bashir Badr is a famous urdu poet. He was born in 1935 and is currently living in Bhopal, India. We are committed to bring all of his poetry right.


Log toot jaate hain eik ghar banaane main..

Log toot jaate hain eik ghar banaane main,
Tum taras nahin khaate bastiyanjalaane main
Aur jaam tootenge is sharaab khaane main,
Mausmon ke jaane main, mausmon ke aane main,
Har dharrakte patthar ko log dil samajhte hain,
Umr beet jaati hai dil ko dil banaane main,
Fakhta ki majboori ye bhi keh nahin sakti,
Kaun saanp rakhta hai uske aashiyane main,
Doosri koi ladki zindagi mein aayegi,
Kitni der lagti hai usko bhool jaane main..

Tum raah mein chup chaap kharrey ho..

Tum raah mein chup chaap kharrey ho to gaye ho,
Kis kis ko batao gey ghar kyun naheen jaatey..

Phool sa kuch qalaam or sahi..

Phool sa kuch qalaam or sahi,
Ik ghazal us kay naam or sahi,
Us ki zulfien bohat ghaneri hain,
Ek shab ka qayam or sahi,
Zindagi kay udaas qissey hain,
Ek larki ka naam or sahi,
Kursiyon ko sunaiye ghazlien,
Qatal ki ek sham or sahi,
kapkapati hai rat seeney me,
zehar ka ek jaam or sahi.

Us ki chahat ki chandni ho gi..

Us ki chahat ki chandni ho gi,
Khoobsorat si zindagi ho gi,
Ek larki bohat sey phool liye,
Dil ki dehleez par khari ho gi,
Chahey jitney charagh gul kar do,
Us key ghar roshni to ho gi,
Neend tarsey gi meri ankhon me,
Jab bhi khawbon sey dosti ho gi,
Hum bohat door they magar tum ney,
Dil ki awaz to suni ho gi,
Sochta hun key wo kahan ho gi,
Kis key angan me chandni ho gi.

Khuda hum ko esi judai na dey..

Khuda hum ko esi Khudayi na dey,
Kay apney siwa kuch dikhai na dey,
Khatawar samjhey gi duniya tujhey,
Ab itni zayada safai na dey,
Hanso aj itna kay is shor me,
Sada siskiyon ki sunai na dey,
Ghulami ko barkat samjhney lagien,
Aseeron ko esi rihai na dey,
Khuda esey ehsas ka naam hai,
Rahey samney or dikhai na dey,
Mujhey esi jannat nahi chahiye,
Jahan sey madina dikhai na dey.

Aansuyon se dhuli khushi ki tarah..

Aansuyon se dhuli khushi ki tarah,
Rishtey hotey hain shayari ki tarah,
Door reh kar bhi hoon issi ki tarah,
Chaand se door chandni ki tarah,
Khoobsurat, udaas, khaufzada,
Woh bhi hai beesween sadi ki tarah,
Jab bhi kabhi badlon mein ghirta hai,
Chand lagta hai aadmi ki tarah,
Hum khuda ban ke ayen ge warna,
Hum se mil jao aadmi ki tarah,
Sab nazar ka fareb hota hai,
Koi hota nahin kissi ki tarah,
Janta hoon ke aik din mujh ko,
Woh badal de ga diary ki tarah,
Aarzu hai ke koi sher kahoon,
Khoobsurat teri gali ki tarah..

Woh bhi bohat akela hai shayed meri tarah..

Woh bhi bohat akela hai shayed meri tarah,
Us ko bhi koi chahney wala naheen milaa..

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki..

Na jee bhar ke dekha na kuch baat ki,
Barri arzoo thi hum ko mulaaqat ki..

Doosron ko hamari sazaayen na de..

Doosron ko hamari sazaayen na de,
Chandni raat ko bad’duyain na de,
Phool se aashqui ka hunar seekh le,
Titliyan khud rukain gi sadayen na de,
Motiyon ko chupaa sipiyon ki tarah,
Bewafaon ko apni wafayen na de,
Main bikhar jaaon ansuyon ki tarah,
Is qadar pyar se bad’duyain na de..

Agar talash karoon koi mil hi jaye ga..

Agar talash karoon koi mil hi jaye ga,
Magar kon tumhari tarah mujh ko chahy ga,
Tumhain zaroor koi chahton se dekhe ga,
Magar woh aankhain hamari kahan se laye ga,
Na jane kab tere dil per neyi si dastak ho,
Makaan khali hua hai to koi aye ga,
Main apni raah main deewar ban ke betha hoon,
Agar woh aaya to kis raste se aaye ga,
Tumhare sath yeh mausam farishton jaisa hai,
Tumhare baad yeh mausam bohat sataye ga..

Koi naa jaan saka woh kahan se aaya tha

Koi naa jaan saka woh kahan se aaya tha,
Aur us ne dhoop se baadal ko kyon milaya tha,
Yeh baat shayed logon ko pasand aayi nahin,
Makaa’n chota tha lekin bohat sajaya tha,
Woh ab wahan hai jahan raste nahin jate,
Main jis ke sath yahan pichle saal aya tha,
Suna hai us pe chehekne lage hain parindey bhi,
Woh aik pau’daa jo hum ne kabhi lagaya tha,
Chiragh doob gaye kapkapaye honton par,
Kisi ka hath hamare labo’n tak aya tha,
Badan ko chorr ke jana hai aasman ki taraf,
Samundro’n ne humain yeh sabaq parhaya tha,
Tamam umar mera da isi dhuyain mein ghutta,
Woh ik chiragh thaa meine usey bhujaya tha..

Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai

Jub Raat Ki Tanhayi Dil Ban Ke Dharakti Hai
Yaadon Ke Jharokon Mein Chilman Si Sirakti Hai
Lobaan Mein Chingaari Jaisay Koi Rakh Jaaye
Yun Yaad Teri Shab Bhar Seenay Mein Sulagti Hai
Yun Pyaar Nahi Chhupta, Palkon Ke Jhukaanay Se
Aankhon Ke Lifaafon Mein Tehreer Chamakti Hai
Khush Rang Parindon Ke Lout Aanay Ke Din Aaye
Bichray Howay Miltay Hain, Jab Barf Pighalti Hai
Shohrat Ki Bulandi Bhi, Pal Bhar Ka Tamasha Hai
Jis Daal Pe Bethay Ho, Wo Toot Bhi Sakti Hai

Yeh chandni bhi jin ko choote huye darti hai

Yeh chandni bhi jin ko choote huye darti hai,
Duniya inhi phoolon ko pairon se masalti hai,
Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamasha hai,
Jiss daal pe bethe ho woh toot bhi sakti hai,
Lohaan mein chingaari jese koi rakh jaye,
Yu’n yaad teri shab bhar seene mein sulagti hai,
Ajata hai khud kheench kar dil seene se patrri per,
Jab raat ki sarhad se ik rail guzarti hai,
Aansu kabhi palkon per ta-dair nahin rukte,
Urr jate hain yeh panchi jab shaakh lachakti hai,
Khush rang parindon ke laut aaney ke din aye,
Bichrre huye milte hain jab baraf pighalti hai..

Ab hai toota sa dil khud se bezaar sa

Ab hai toota sa dil khud se bezaar sa
Iss haweli mein lagta tha darbaar sa
Iss tarah saath nibhana hai dushwaar sa
Main bhi talwaar sa tu bhi talwaar sa
Khubsurat se paaon mein zanjeer ho
Ghar mein baitha rahun main giraftaar sa
Gudiya gudde ko becha gaya kharida gaya
Ghar sajaya gaya raat, bazaar sa
Shaam tak kitne hathon se guzrunga
Chaye khanon mein uddi ke akhbar sa
Main farishton ki mohbbat ke layek nahi
Hamsafar koi hota gunahgaar sa
Baat kya hai ke mash’hoor logon ke ghar
Maut ka sog hota hai teohaar sa
Zeena zeena utarta hua aaiina
Usska lehja anokha khankhdaar sa
Vo aligarh ki shaamein kahan kho gayi
Ab vo shayar kahan hai tarahdaar sa

No comments: