Mehfil-E-Shayari
Urdu Mehfil-E-Shayari
Likhe huye ghairon ke sallam atey hain..
Khat main likhe huye ghairon ke sallam atey hain,
Kis qayamat ke yeh naaamey mere naam atey hain..
Kis qayamat ke yeh naaamey mere naam atey hain..
Koi betaab koi mast koi chup koi hairaan..
Koi betaab koi mast koi chup koi hairaan,
Teri mehfil mein ik tamaasha hai jidar dekho..
Teri mehfil mein ik tamaasha hai jidar dekho..
Alfaaz giraa dete hain jazbaat ki qeemat..
Alfaaz giraa dete hain jazbaat ki qeemat,
Har baat ko alfaaz mein tola na karo..
Har baat ko alfaaz mein tola na karo..
Kahin Qudrat Ka Ye Nizaam Hua Karey..
Ae Kaash, Kahin Qudrat Ka Ye Nizaam Hua Karey,
Tujhy Dekhney k Siwa Na Mujhy Koi Kaam Hua Karey..
Tujhy Dekhney k Siwa Na Mujhy Koi Kaam Hua Karey..
Mujhe Yaqeen ke Tum Munfarid Ho Auron Se..
Mujhe Yaqeen ke Tum Munfarid Ho Auron Se,,
Tumhain Gumaan K eShayad Main Auron Jesa Hoon..
Tumhain Gumaan K eShayad Main Auron Jesa Hoon..
Alag reh ke bhi rehte hain tere paas..
Hum tujh se alag reh ke bhi rehte hain tere paas,
Hote hain teri bazzm main hotey hian jahaan bhi..
Hote hain teri bazzm main hotey hian jahaan bhi..
Aageya hai hunar mujh ko muskuraney ka..
Gham-e-hayaat pareshaan na kar sake ga mujhe,
Ke aageya hai hunar mujh ko muskuraney ka..
Ke aageya hai hunar mujh ko muskuraney ka..
Aik aahat kitne hangaamon pe haawi ho
Parr gaya parda sama’aat per teri awaaz ka,
Aik aahat kitne hangaamon pe haawi ho gayi..
Aik aahat kitne hangaamon pe haawi ho gayi..
(sama’aat;hearing)
Bas ek raat theherna hai..
Bas ek raat theherna hai kya gila kijiye,
Musafiron ko ghaneemat hai yeh saraye bohat..
Musafiron ko ghaneemat hai yeh saraye bohat..
(saraye;motel,hotel)
Mehfil Mein Nazar Aate Hain Naadim Chehere
Abhi Mehfil Mein Nazar Aate Hain Naadim Chehere,
Lau Chiraaghon Ki Zara Aur Ghataa Di Jaye..
Lau Chiraaghon Ki Zara Aur Ghataa Di Jaye..
(naadim;embarrassed)(lau;dimmer of a light)
Mohabbat karne waale kam na honge
Mohabbat karne waale kam na honge,
Teri mehfil mein lekin hum na honge..
Teri mehfil mein lekin hum na honge..
Sirf Khoobsurti Ko Poojtay Hein
Kon Dekhta Hai Kisi Ko Ab Seerat-e-Ikhlaaq Ki Nazar Sy,
Sirf Khoobsurti Ko Poojtay Hein Naye Zamanay K Log.
Sirf Khoobsurti Ko Poojtay Hein Naye Zamanay K Log.
Umeed to manzil pe pohnchnay ki bari thi
Umeed to manzil pe pohnchnay ki bari thi
Taqdeer magar janay kaha soi parri thi
Taqdeer magar janay kaha soi parri thi
Khush thay k guzarein gey rafaqat mein saffr ab
Tanhaee magar baahon ko phir kholay khari thi
Tanhaee magar baahon ko phir kholay khari thi
guftar acha ho to
shab har shab mujay yehe darss datii hai..
guftar acha ho to manzil kesay kehta hain.
guftar acha ho to manzil kesay kehta hain.
Rote huye bache ko
Ghar se hai Mandir badi door chalo yun kar len
Ek rote hue bachhe ko hansaya jaye
Ek rote hue bachhe ko hansaya jaye
No comments:
Post a Comment