Dua Shayari
Dua Shayari is poetry on wishing and praying for someone. Dua Shayari is loved by pakistanis, so we have lots of Dua poetry for our users to read.Dua Shayari contains poetry topics like wishing, praying, and expression of desire.
Sab kuch maang liya tujh ko khuda se maang kar..
Sab kuch maang liya tujh ko khuda se maang kar,
Utthte nahin hain hath mere iss dua ke baaad..
Utthte nahin hain hath mere iss dua ke baaad..
Harf-e-tauba humein sikha phir se..
Harf-e-tauba humein sikha phir se,
Humein dikhlaa raah-e-khuda phir se,
Humein dikhlaa raah-e-khuda phir se,
Le kar apni panaah main ya rab,
Humein Shaitaan se bachaa phir se,
Humein Shaitaan se bachaa phir se,
Phir sunaa de humain naveed-e-bahisht*,
Naar-e-dozakh* se bhi daraa phir se,
Naar-e-dozakh* se bhi daraa phir se,
Hum bhatakne lage hain dikha de,
Aye khuda seedha raasta phir se,
Aye khuda seedha raasta phir se,
Jaise ki thi mere bazurgon ki,
Kar qabool aise hi meri dua phir se,
Kar qabool aise hi meri dua phir se,
Fikar taaza ho jis ki khusbhuu se,
Phool gulshan main aisa khilaa phir se..
Phool gulshan main aisa khilaa phir se..
(naveed-e-bahisht:heaven, jannat ki khush’khabri) (Naar-e-dozakh:fire of hell, dozakh ki aag)
Ya rab mujhe na maal, na jah-o-jallal de..
Ya rab mujhe na maal, na jah-o-jallal de,
Do din ke baad rizq de lekin halaal de..
Do din ke baad rizq de lekin halaal de..
Duaa koi bi rad nahi jati..
Duaa koi bi rad nahi jati,
Log itnizar hi nahi karte..
Log itnizar hi nahi karte..
Dil de to is mizaaj ka parwardigaar de..
Dil de to is mizaaj ka parwardigaar de,
Jo ranjj ki gharri bhi khushi se guzaar de..
Jo ranjj ki gharri bhi khushi se guzaar de..
Yaad teri, bass baat teri, fariyaad teri..
Yaad teri, bass baat teri, fariyaad teri,
Ya rab mujhe kaam koi to aur bhi ho..
Ya rab mujhe kaam koi to aur bhi ho..
Khuda naseeb kare un ko khushiyan saari..
Khuda naseeb kare un ko khushiyan saari,
Adam woh log jo hum ko udaas rakhte hain..
Adam woh log jo hum ko udaas rakhte hain..
Chahat ke badle main hum to bech dain..
Chahat ke badle main hum to bech dain apni marzi tak,
Koi miley to dil ka gaahak, koi humain apnaaye to..
Koi miley to dil ka gaahak, koi humain apnaaye to..
Thukraa diya hai jis ke liye ik jahaan ko
Thukraa diya hai jis ke liye ik jahaan ko,
Yaa Rab woh mera dil na dukhaaye tamaqm umar..
Yaa Rab woh mera dil na dukhaaye tamaqm umar..
Mere maula teri janat se judaa lagti hai
Mere maula teri janat se judaa lagti hai,
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai..
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai..
Parhta tha main nimaaz samajh kar usey
Parhta tha main nimaaz samajh kar usey Rasheed,
Phir yu’n hua ke mujh se qazaa ho gaya woh shakhss..
Phir yu’n hua ke mujh se qazaa ho gaya woh shakhss..
Tere dil ko taskeen pohanchey
Aesa kya likhoon ke tere dil ko taskeen pohanchey,
Kya yeh kaafi nahin ke meri duaayon mein tum ho…
Kya yeh kaafi nahin ke meri duaayon mein tum ho…
Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai…
Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai,
Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai.
Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai.
Awaaz ghunghrooON ki…Nahin hai to kya hua
Saagar ke tootne ki…Sadaa mere saath hai
Saagar ke tootne ki…Sadaa mere saath hai
Tanhai kisko kehte hain…Mujhko pata nahin
Kya jaane kis hasin ki…Duaa mere saath hai
Kya jaane kis hasin ki…Duaa mere saath hai
Paimana saamne hai to…Kuch gum nahin Nizaam
Ab dard-e-dil ki koi…Dava mere saath hai
Ab dard-e-dil ki koi…Dava mere saath hai
Duniya teri taraf hai…Khuda mere saath hai
Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai
Toote hue dilon ki…Duaa mere saath hai
Osy lagaya hy may ny khiyal rakna tum !
Osy lagaya hy may ny khiyal rakna tum !
ke ye shjar meri naslon ko acha phal dy g
Kachi umer me kal k dukhon se ajj uljhana theek nahin
Kachi umer me kal k dukhon se ajj uljhana theek nahin,
Pehla sawan bhegane walo shad raho abad raho.
Pehla sawan bhegane walo shad raho abad raho.
No comments:
Post a Comment