Ahmad Faraz Poetry

Ahmad Faraz Poetry


Ahmad Faraz
1950-2008
Poetries : 145






Ahmad Faraz is one of the best poets pakistan has ever seen. We bring you all the Ahmad Faraz poetry he has written, here at Ranjish.com. Lots ofAhmad Faraz poetry and Ahmad Faraz shayari is available here for you to read and enjoy. So keep coming up as we keep adding more and more poetries of ahmad faraz.

Silsle torr geya woh sabhi jaate jaate..

Silsle torr geya woh sabhi jaate jaate,
Warna itne to marasim they ke aate jaate,
Shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha,
Apne hisse ki koi shamma jalaate jaate,
Kitna asaan tha tere hijar main marna jaana,
Phir bhi ik umar lagi jaan se jaate jaate,
Jashn-e-maqtal hi na barpa hua warna hum bhi,
Pa’bajola hi sahi naachte gaate aate,
Us ki woh jaane usse pas-e-wafa tha ke na tha,
Tum Faraz apni tarf se to nibhaate jaate..

Aesi tareekiyan aankhon mein bassi hain..

Aesi tareekiyan aankhon mein bassi hain ke Faraz,
Raat to raat hai hum din ko jalate hain chiraagh..

Tera qurb hai na baada hai, kya kiya jaaye..

Tera qurb hai na baada* hai, kya kiya jaaye,
Phir aaj dukh bhi zeyadaa hai, kya kiya jaaye,
Kuch apne dost bhi turkish-badosh phirte hain,
Kuch apna dil bhi kushaada hai, kya kiya jaaye,
Na un se tark-e-taluq ki baat kar paayen,
Na humdumi ka iraada hai, kya kiya jaaye,
Woh meherbaan hai, magar dil ki hirss* bhi kam to ho,
Talab karam se zeyada hai, kya kiya jaaye,
Humain bhi arz-e-tamanna ka dhangg nahin aata,
Mizaaj-e-yaar bhi saada hai, kya kiya jaaye,
Salook-e-yaar se dil doobne laga hai Faraz,
Magar yeh mehfil-e-aaada hai, kya kiya jaaye..
(baada:libaas, clothes)(hirss:lalach, greed)

Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaana’n..

Ab ke tajdeed-e-wafaa ke nahin imkaan jaana’n,
Yaad kya tujh ko dilaayen tera paimaan jaana’n,
Yoon hi mausam ki adaa dekh ke yaad aaya hai,
Kis qadar jald badal jaate hain insaan jaana’n,
Zindagi teri ataa thi, so tere naam ki hai,
Hum ne jese bhi bassar ki tera ehsaan jaana’n,
Dil yeh kehta hai ke shayed ho afsurda tu bhi,
Dil ki kya baat karen dil to hai nadaan jaana’n,
Awal awal ki mohabbat ke nashe yaad to kar,
Be piye bhi tera chehra tha gulistaan jaana’n,
Aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahin,
Rag-e-beena sulagg uthi hai rag-e-jaan jaana’n,
Muddaton se yeh aalam na tawaqoh na umeed,
Dil pukaare hi chala jaata hai jaanan jaana’n,
Hum bhi kya saada they hum ne bhi samajh rakha tha,
Gham-e-doraan se juda hai gham-e-jaana’n jaana’n,
Ab tera naam bhi shayed hi ghazal mein aaye,
Aur se aur huye dard ke unwaan jaana’n,
Hum ke roothi hui rut ko bhi manaa lete they,
Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jaana’n,
Hosh aaya to sabhi khawb they raiza raiza,
Jese urrte huye auraaq-e-pareshaan jaana’n..
(tajdeed:renewal)(unwaan:topic)(auraaq:papers)

Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee..

Kal hum ne bazm-e-yaar mein kya kya sharab pee,
Sehraa ki tishnagi thi sau daryaa sharaab pee,
Tu sath jo nahin hai to kya gulistan ki sair,
Tu hum’saboon nahin hai to phir kya sharab pee,
Kal aik bazurg dost ne yeh mashwraa diya,
Tera nahin ilaaj koi ja sharaab pee..

Hilaal-e-eid ko dekho to rok lo aansu..

Hilaal-e-eid ko dekho to rok lo aansu,
Jo ho sake to mohabbat ka ehtraam karo..
(hilaal;moon)

Zikr us ka hi sahi bazm mein betho to..

Zikr us ka hi sahi bazm mein betho to Faraz,
Dard kaisa hi uthay haath na dil pe rakhnaa..

Har waqt ka hasnaa tujhe barbaad na kar de..

Har waqt ka hasnaa tujhe barbaad na kar de,
Tanhaayi ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar,
Aye dil! tujhe dushman ki bhi pehchaan kahan,
Tu halqa-e-yaraan* mein bhi mohtaat* raha kar..
(halqa-e-yaraan;around friends, mohtaar;cautious)

Ro parra hoon to koi baat hi aesi ho gi..

Ro parra hoon to koi baat hi aesi ho gi,
Main ke waqif tha tere hijr ke adaab se bhi..

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain..

Abhi kuch aur karishmay ghazal ke dekhte hain,
Faraz ab zara lehja badal ke dekhte hain,
Judaeyaan tau muqaddar hain phir bhi ay jaan-e-safar,
Kuch aur door zara saath chal ke dekhte hain,
Rah-e-wafa mein hareef-e-kharaam koi to ho,
Sau apne aap se aagay nikal ke dekhte hain,
Tu samnay hai tau phir kyon yaqeen nahi aata,
Yeh baar baar jo aankhon ko mall ke dekhte hain,
Yeh kaun log hain moujood teri mehfil mein,
Jo lalichoon se tujhe, mujh ko jall ke dekhte hain,
Yeh qurb kya hai ke yakjaan huye na door huye,
Hazaar aik hi qaalib mein dhall ke dekhte hain,
Na tujh ko maat huyi hai na mujh ko maat huyi,
Sau ab ke dono hi chaalen badal ke dekhte hain,
Yeh kaun hai sar-e-saahil ke doobnay walay,
Samundaroon ki taho’n se ucchal ke dekhte hain,
Abhi talak tau na kundan huye na raakh huye,
Hum apni aag mein har roz jal ke dekhte hain,
Bohat dinon se nahi hai kuch us ki kher khabar,
Chalo Faraz kuu-e-yaar chal ke dekhte hain…

Shab-e-hijr mein soya kese..

Dil munaafiq tha, shab-e-hijr mein soya kese,
Aur jab tujh se mila, toot ke roya kese..

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz..

Yeh mohabbat bhi hai kya rog Faraz,
Jisey bhooley woh sadaaa yaad aaya..

Pyar bhi karna, zamaney se bhi ghanrana bohat..

Pyar bhi karna, zamaney se bhi ghanrana bohat,
Aayino’n ka ghar banana aur pathar sochna…

Us ki aankhon ko kabhi ghaur se dekha hai..

Us ki aankhon ko kabhi ghaur se dekha hai Faraz,
Roney walon ki taraaah jaagney waalon jesi..

Shair kisi ke hijr main kehnaa sirf..

Shair kisi ke hijr main kehnaa sirf visaal kisi se,
Hum bhi kya hain, dheyaan kisi ka aur sawal kisi se..

Ab tasleem karlen tu nahin to main sahi..

Aa ke ab tasleem karlen tu nahin to main sahi,
Kon maaney ga ke hum mein se bewafa koi nahi..

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia

Wafaa Ke Baab Mein iLzaam-e-Aashiqui Na Lia
Ke Teri Baat Ki Aur Tera Naam Bhi Na Lia
Khusha Wo Loog Ke Mehroom-e-iLtafaat Rahay
Tere Karam Ko Ba Andaaz-e-Saadgi Na Lia
Tumhaaray Baad Kayi Haath Dil Ki Simt Barhay
Hazaar Shukar Girebaan Ko Ham Ne Si Na Lia
Tamaam Masti-o-Tishna Labi Ke Hangaamay
Kisi Ne Sang Uthaaya, Kisi Ne Meena Lia
“Faraz” Zulm Hai Kuch Itni Khud Aitmaadi Bhi
Ke Raat Bhi Thi Andheri, Charaagh Bhi Na Lia

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi

“Faraz” Ab Koi Sodaa Koi Junoo.n Bhi Nahi
Magar Qaraar Se Din Kat Rahay Hon Yun Bhi Nahi
Lab-o-Dehan Mila Guftuguu Ka Fun Bhi Mila
Magar Jo Dil Pe Guzarti Hai Keh Sakuun Bhi Nahi
Na Jaanay Kiun Meri Aankhain Barasnay Lagti Hain
Jo Sach Kahuun Tou Kuch Aisa Udaas Hun Bhi Nahi
Meri Zabaa.n Ki Luknat Se Badgumaa.n Na Ho
Jo TU Kahay Tou Tujhe Umer Bhar Miluun Bhi Nahi
Dukhon Ke Dhair Lagay Hain Ke Loog Baithay Hain
Is Diyaar Ka Mein Bhi Hun Aur Hun Bhi Nahi
“Faraz” Jaisay Diya Qurbat-e-Hawaa Chaahay
Wo Paas Aaye Tou Mumkin Hai Mein Rahuun Bhi Nahi

Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki

Is Qadar Musalsal Thee.n Shiddatain Judayi Ki
Aaj Pheli Baar Os Se Mein Ne Bewafaayi Ki
Warna Ab Talak Yun Tha Khwahishon Ki Barish Mein
Ya Tou Toot Kar Roya Ya Ghazal Saraayi Ki
Taj Dia Tha Kal Jin Ko Ham Ne Teri Chaahat Mein
Aaj Un Se Majbooran Taaza Aashnaayi Ki
Ho Chala Tha Jab Bhi Mujh Ko Ikhtilaaf Apnay Aap Se
TU Ne Kis Gharri Zaalim Meri Hamnawaayi Ki ?
Tark Kar Chukay Qaasid Ko-e-Na-Muraada.n Ko
Kon Ab Khabar Laaway Sheher-e-Aashnaayi Ki ?
Tanz-o-Taana-o-Tohmat Sab Hunar Hain Na Siha Ke
Aap Se Koi Poochay Ham Ne Kia Buraayi Ki ?
Phir Qafas Mein Shor Utha Qaidyon Ka Aur Sayyaad
Dekhna Urra De Ga Phir Khabar Rihaayi Ki
Dukh Howa Jab Os Dar Pe Kal “Faraz” Ko Dekha
Laakh Aib Thay Os Mein Khuu Na Thi Gadaayi Ki

Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath

Wehshatain Barhti Gayin Hijr Ke Aazaar Ke Saath
Ab Tou Ham Baat Bhi Kartay Nahi Gham Khwaar Ke Saath
Ab Tou Ham Ghar Se Nikaltay Hain Tou Rakh Detay Hain
Taaq Per Izzat-e-Saadaat Bhi Dastaar Ke Saath
Ek Tou Khwaab Lye Phirtay Ho Galyon Galyon
Os Pe Takraar Bhi Kartay Ho Kharidaar Ke Saath
Is Qadar Khauf Hai Os Sheher Ki Galyon Mein Ke Loog
Chaap Suntay Hain Tou Lag Jaatay Hain Deewaar Ke Saath
Ham Ko Os Ehad Mein Taameer Ka Soda Hai Jahan
Loog Maymaar Ko Chun Daitay Hain Deewaar Ke Saath

Kshti ko saahil pe uchaal doon ga..

Doobty doobty kashti ko saahil pe uchaal doon ga,
Mein nahi koi to saahil pe utar jaye ga..

Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain..

Ab tere zikr pe hum baat badal dete hain,
Kitni raghbat* thi tere naam se pehle pehle..
(raghbat;attraction)

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili

Aisa Nahi Ke Ham Ko Mohabbat Nahi Mili
Tumhain Chahtay Thay, Per Teri Ulfat Nahi Mili
Milnay Ko Zindagi Mein Tou Kayi Hamsafar Milay
Per Un Ki Tabiyat Se Tabiyat Nahi Mili
Chehron Mein Dosron Ke Tujhe Dhoondtay Rahay
Soorat Nahi Mili Kaheen Seerat Nahi Mili
Bohat Dair Se Aaya TU Mere Paas
Alfaaz Dhoondnay Ki Bhi Mohlat Nahi Mili
Tujh Ko Gila Hai Ke Tawajja Na Di Tujhe
Laikin Ham Ko Tou Khud Apni Mohabbat Nahi Mili
Ham Ko Tou Teri Har Aadat Achi Lagi “Faraz”
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon

Ab Ke Rut Badli Tou Khushbu Ka Safar Dekhay Ga Kon ?
Zakham Phoolon Ki Tarah Mehkain Gain Per Dekhay Ga Kon ?
Dekhna Sab Raqs-e-Bismil Mein Magan Ho Jayein Ge
Jis Taraf Se Teer Aaye Ga Udher Dekhay Ga Kon ?
Zakham Jitnay Bhi Thay Sab Mansoob Qaatil Se Howay
Teray Haathon Ke Nishaa.n Ay Chaarahgar Dekhay Ga Kon ?
Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai
Loog Tou Phal Phool Dekhain Ge Shajar Dekhay Ga Kon ?
Har Koi Apni Hawaa Mein Mast Phirta Hai “Faraz”
Sheher-e-Na-Pursaan Mein Teri Chashm-e-Tar Dekhay Ga Kon ?

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere

Juz Tere Koi Bhi Din Raat Na Janay Mere
TU Kahan Hai Magar, Ay Dost Puraanay Mere ?
TU Bhi Khushbu Hai Magar Mera Tajassus Bekaar
Barq-e-Avaara Ki Manind Thikhane Mere
Shama Ki Lau Thi Ke Wo TU Tha Magar Hijr Ki Raat
Dair Tak Rota Raha Koi Sirhaane Mere
Khalq Ki Bekhabri Hai Ke Meri Rusvaai
Loog Mujh Ko Sunate Hain Fasaane Mere
Lut Ke Bhi Khush Hun Ashkon Se Bhara Hai Daman
Dekh Ghaarat-e-Dil Ye Bhi Khazane Mere
Aaj Ek Aur Baras Beet Gaya Os Ke Bagair
Jis Ke Hote Hue Hote Thay Zamane Mere
Kash TU Bhi Meri Aavaaz Sunta Ho
Phir Pukara Hai Tujhe Dil Ki Sadaa Ne Mere
Kash TU Bhi Kabhi Ajaye Masihai Ko
Loog Aate Hain Bohat Dil Ko Dukhane Mere
Kaash Auron Ki Tarah Main Bhi Keh Sakta
Baat Sun Li Hai Meri Aaj Khuda Ne Mere
TU Hai Kis Haal Main Ay Zud Faraamosh Mere
Mujh Ko Tou Chhin Liya Ehd-e-Vafa Ne Mere
Charagar Tou Bohat Hain Magar Ay Jaan-e-“Faraz”
Juz Tere Aur Koi Gham Na Jane Mere

Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey..

Hum na hotey to kisi aur ke charchey hotey,
Halqat*-e-sheher to kehne ko fasaaney mangey..
(halqat;public)

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha..

Woh dushman-e-jaan, jaan se pyara bhi kabhi tha,
Ab kiss se kahen koi hamara bhi kabhi tha,
Utra hai rag-o-pey* main to dil katt sa geya hai,
Yeh zeher-e-judaayi ke gawaara bhi kabhi tha,
Har dost jahan abar-e-gurezaan ki tarah hai,
Yeh sheher kabhi sheher hamara bhi kabhi tha,
Titlii ke taaqub* mein koi phool sa bacha,
Aesa hi koi khawb hamara bhi kabhi tha,
Ab agley zamaney ke milain log to poochain,
Jo haal hamara hai, tumhara bhi kabhi tha,
Har bazm main hum ne usey afsurdaa hi dekha,
Kehtey hain Faraz anjuman-e-araa* bhi kabhi tha..
(rag-o-pey;inside the soul, taaqub;chase, anjuman-e-araa;happy)

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe

Payaam Aaye Hain Os Yaar-e-Bewafa Ke Mujhe
Jisay Qaraar Na Aaya Kaheen Bhula Ke Mujhe
Judaayiaan Hon Tou Aisi Ke Umer Bhar Na Milain
Faraib Do Tou Zara Silsilay Barha Ke Mujhe
Nashay Se Kam Tou Nahi Yaad-e-Yaar Ka Aalam
Ke Le Urra Hai Koi Dosh Per Hawa Ke Mujhe
Mein Khud Ko Bhool Chuka Tha Magar Jahan Waalay
Udaas Chorh Gaye Aaina Dikha Ke Mujhe
Tumhaaray Baam Se Ab Kam Nahi Rifat-e-Daar
Jo Dekhna Ho Tou Dekho Nazar Utha Ke Mujhe
Khinchi Howi Hai Mere Aansooun Mein Ek Tasveer
“Faraz” Dekh Raha Hai Wo Muskura Ke Mujhe

Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay

Ye Jo Sargashta Se Phirtay Hain Kitaabon Waalay
In Se Mat Mil Ke Inhain Rog Hain Khwaabon Waalay
Ab Meh-o-Saal Ki Mohlat Nahi Milnay Wali
Aa Chukay Ab Tou Shab-o-Roz Azaabon Waalay
Ab Tou Sab Dashna-o-Khanjar Ki Zabaan Boltay Hain
Ab Kahaan Loog Mohabbat Ke Nisaabon Waalay
Jo Dilon Per Hee Kabhi Naqab Zani Kartay Thay
Ab Gharon Tak Chalay Aaye Wo Naqaabon Waalay
Zindah Rehnay Ki Tamanna Ho Tou Ho Jaatay Hain
Faakhtaaon Ke Bhi Kirdaar Aqaabon Waalay
Na Mere Zakham Khilay Hain Na Tera Rang-e-Hina
Ab Ke Mausam Hee Nahi Aaye Gulaabon Waalay
Yun Tou Lagta Hai Ke Qismat Ka Sikander Hai “Faraz”
Magar Andaaz Hain Sab Khaana Kharaabon Waalay


No comments: