Anwar Masood Poetry

Anwar Masood Poetry

If you have not read Anwar Masood’s Funny Poetry, you are missing the best funny poetry ever written. Anwar Maqsood is undoubtedly a legend of funny poetry, commonly known for his blockbuster poem called “Bunyan”.
We are determined to bring more and more poetries of Anwar Maqsood from his several books that he has written, so keep coming back for Anwar Maqsood’s humorous poetry.


Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera..

Hai aap ke honton pe jo muskaan wagera,
Qurbaan gaye is pe dil-o-jaan wagera,
Billi to yunhi muft main badnaam huyi,
Thailay mein to kuch aur tha samaan wagera,
Be’hirss o gharzz farzz adaa ki jiye apna,
Jis tarah police karti hai chalaan wagera,
Ab hosh nahin koi ke badaam kahan hai,
Ab apni hatheli pe hain dandaan* wagera,
Har shirt ki bushratt bana dali hai Anwar,
Yun chaak kiya hum ne garebaan* wagera..
(dandaan;artificial teeth)(garebaan;collars)

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye..

Shair logon ke bohat yaad hain auron ke liye,
Tu milay to main tujhe shair sunaaon apne..

Main apne ghar geya tha woh jab apne ghar gayi

Main apne ghar geya tha woh jab apne ghar gayi,
Phir mujh ko kya khabar ke wahan se kidhar gayi..

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye..

Mard Honi Chahiye, Khatoon Hona Chahiye,
Ab Grammer Ka Yehi Kanoon Hona Chahiye,
Nursery Ka Daakhla Bhi Ab Sar’sari Mat Janiye,
Aap Ke Bache Ko Aflaatoon Hona Chahiye,
Raat Ko Bache Parhayi Ki Aziyat Se Bache,
In Ko TV Ka Bohat Mamnoon Hona Chahiye,
Doston English Zaroori Hai Hamare Wastey,
Fail Honey Ko Bhi Koi Mazmoon Hona Chahiye,
Sirf Mehnat Kya Hai Anwar Kamyaabi Ke Liye,
Koi Ooper Se Bhi Telephone Hona Chahiye..
(khatoon;lady)(sar’sari;easy)(mamnoon;thankfull)

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota..

Tujhe Mujhse Mujko Tujse Jo Bohat Hi Pyar Hota,
Na Tujhe Qaraar Hota Na Mujhe Qaraar Hota,
Tera Har Marz Ulajhta Meri Jaan-e-natwaan Se,
Jo Tujhe Zukaam Hota Tou Mujhe Bukhaar Hota,
Jo Mein Tujko Yad Karta Tujhe Cheenkna Bhi Parta,
Mere Sath Bhi Yakeenan Yehi Bar Bar Hota,
Kisi Chowk Mein Lagate Koi Chooriyon Ka Khokha,
Tere Sheher Mein Bhi Apna Koi Karobaar Hota,
Gham-o-ranj Aashiqana Nahin, Calculator’aana,
Isey Mein Shumaar Karta Jo To Be’shumaar Hota,
Wahan Zer-e-behess Atey Khat-o-haal O Huye-hubaan,
Gham-e-ishq Per Jo Anwar Koi Seminar Hota..
(zukaam;flu)(khokha;stall)(zer-e-behess;under discussion)(khat-o-haal;situation)(huye-hubaan;situation)

Sun to sahi jahan main

sun to sahii jahaan main hai teraa fasaanaa kyaa
kahti hai tujh se Khalq-e-Khudaa Gaibanaa kya
zina saba kaa Dhundati hai apni musht-e-Khaak
baam-e-baland yaar ka hai astana kya
ati hai kis tarah se meri kabz-e-ruuh ko
dekhun to maut dhund rahe hai bahana kya
betab hai kamal hamara dil-e-aziim
mahmaan saray-e-jism ka hoga ravana kya

No comments: