Rehana Qamar Poetry

Rehana Qamar Poetry

Rehana Qamar was born in Pakistan and then later she decided to get settled in the US. Rehana Qamar‘s book “Kash Tum Sey Koi Bewafai Karey” was a big hit among literature lovers.
Rehana Qamar’s other poetry books include; Soch Ki Dehleez Par, Magar Tum Apna Kheyal Rakhna, Hum Phir Na Milein Shayed, Tum Ho To Mein Bhi Hun, Mar Key Bhi Tumharey Hein.
Looking at the names of her books, one can easily guess that her poetry targets Love and Affection. We bring you the hand picked Rehana Qamar ghazals and two liners to enjoy.



Us Ka Chehra Bhi Sunata Hai Kahani Us Ki

Us ka chehra bhi sunata hai kahani us ki,
Chahti hoon ke sunoon us se zubaani us ki,
Woh sitam’gar hai to ab us se shikayat kesi,
Aur sitam karna bhi aadat purani us ki,
Besh-qeemat hai yeh moti se meri palkon per,
Chand aansu hain mere pass nishani us ki,
Us jafaa-kaar ko maloom nahin woh kya hai,
Be-murawat ko hai tasveer dikhani us ki,
Aik woh hai nazar andaaz kare hai mujh ko,
Aik mein hoon ke dil-o-jaan se deewani us ki,
Tum ko ulfat hai Qamar us se to ab keh dena,
Samne sab ke sunaa dena kahani us ki..

(besh-qeemat;costly)

No comments: