Nazam Collection

Nazam Shayari

Nazam Shayari is longer than usual poetries. Read Nazam Shayari here, we have got lots and lots of Nazam Shayari here. Nazam Poetry is usually said in more than 10 lines.

Tum se kya kahen jaana, Iss qadar jhamele main..

Zindagi ke maile main,
Khawhishon ke raile main,
Tum se kya kahen jaanan,
Iss qadar jhamele main,
Waqt ki rawaani hai,
Waqt ki giraani hai,
Sakht be’zameeni hai,
Sakht la’makaani hai,
Hijar ke samandar main,
Takht aur takhte ki,
Aik hi kahani hai,
Tum ko jo sunaani hai,
Baat to zara si hai,
Baat umar bhar ki hai,
Umar bhar ki baatain
Kab do gharri main hoti hain,
Dard ke samandar main,
An’ginat jazeere hain,
Be’shumaar moti hain,
Ankh ke dareeche main,
Tum ne jo sajaya hai,
Baat uss diye ki hai,
Baat uss gille ki hai,
Zindagi se lambi hai,
Baat rat’jage ki hai,
Raaste main kese ho,
Baat takhliye ki hai,
Takhliye ki baaton main,
Guftgu izaafi hai,
Pyar karne walon ko,
Ik nigaah kaafi hai,
Ho sake to mil jao,
Aik din akele main,
Tum se kya kahen jaana,
Iss qadar jhamele main..

Tumhe mujh se mohabbat hai..

Bohat muddat se aesa hai,
Ke tum khamosh rehte ho,
Koi gehra hai gham shayed,
Jisse chup chaap sehte ho,
Yoon hi chalte huye tanha,
Koi ghamgeen sa naghma,
Tum aksar gungunaate ho,
Doraan-e-guftguu joon hi,
Milain nazron se jab nazren,
To baatain bhool jate ho,
Kisi gumsum si haalat main,
Ya phir baarish ke mausam main,
Fakat itna hi kehte ho,
Udaasi be-wajah si hai,
Bohat bojhal tabiyat hai,
Bhala sachh kyun nahin kehte,
Tumhe mujh se mohabbat hai,
Tumhe mujh se mohabbat hai..

Aakhri chand din december ke..

Aakhri chand din december ke,
Har saal hi giraa’n guzarte hain,
Kese kese gumaan’n guzarte hain,
Raftaang ke guzarte saayon ki,
Aik mehfil si dil main sajti hai,
Phone ki diary ke saf’hon se,
Har barss ki tarah,
Diary ab bhi sawaal karti hai,
Kya khabar is barss ke aakhir tak,
Mere in be’chiraag saf’hon se,
Kitne hi naam katt gaye hon ge,
Apne apne gharon mein rakhi hui,
Diary dost dekhte hon ge,
Unki aankhon ke khaak’daanon main,
Ik sehraa sa phailta ho ga,
Aur kuch be’nishaan saf’hon se,
Naam mera bhi katt geya ho ga..

December kis liye aakhir hamesha khaas lagta hai..

Woh darjan bhar mahinon se,
Zara mumtaaz lagta hai,
December kis liye aakhir
hamesha khaas lagta hai,
Bohat sehmi hui subhein,
Udaasi se bhari shaamein,
Dopehrein royi royi si,
Woh raatein khoyi khoyi si,
Garam dabeez shaalon ka,
Woh kam roshan ujaalon ka,
Kabhi guzre hawalon ka,
Kabhi mushkil sawalon ka,
Bicharr jaane ki mayoosi,
Milan ki aas lagta hai,
December kis liye aakhir
hamesha khaas lagta hai..

Kabhi yoon bhi to ho, Tum aao..

Kabhi yoon bhi to ho,
Dariyaa ka sahil ho,
Poore chaand ki raat ho,
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho,
Pariyon ki mehfil ho,
Koi tumhari baat ho,
Aur tum aao,
Yeh narm o mulaayam thandi hawayen,
Jab ghar se tumhare guzren,
Tumhari khushbuu churaaye,
Mere ghar le aayen,
Kabhi yoon bhi to ho,
Sooni har manzil ho,
Koi na mere sath ho,
Aur tum aao,
Yeh baadal toot ke barse,
Mere dil ki tarah milne ko,
Tumhara dil bhi tarse,
Tum niklo ghar se,
Kabhi yoon bhi to ho,
Tanhai ho, dil ho,
Boondain hon, barsatain hon,
Aur tum aao,
Kabhi yoon bhi to ho,
Kabhi yoon bhi to ho..

Kaha tha na yoon sote huye mat chorr ke jana..

Kaha tha na ke
yoon sote huye mat chorr ke jana
Mujhe beshak jaga dena bata dena
Tumhain rasta badlna hai
Meri had se nikalna hai
To tumhain kis baat ka dar tha
Main tumhain jane nahi deta
kahin pe qaid kar leta
Arey pagal
mohabbat ki tabiyat me zabrdasti nahi hoti
Jise rasta badlna ho
usy rasta badlne se
Jise had se nikalna ho
usey had se nikalne se
Na koi rok paaya hai
Na koi rok paaye ga
To tumhain kis bat ka dar tha
Muje beshak jaga dete
Main tumhain dekh hi leta
Tumhain koi dua deta
kam’az kam yoon to na hota
Mere sathi ye haqiqat hai
tumhare bad khone ke liye kuch bhi nahi baki
Magar main khone se darta hon
Main ab sone se darta hon..

Hawaa zidi bohat hai..

Havaa zidi bohat hai,
Shaakh per ik phool bhi
rehne nahin deti,
Raaste mein khaak urrati hai,
To us ki dhool tak rehne nahin deti,
Havaa kyun bhool jati hai,
Ke mere rat’jage
Tera asaasa hain,
Hamari jaagti raaton ki saari kirchiyan,
Ankhon mein chubhti hain,
To kya kuch yaad aata hai,
Havaa tujh se jo mumkin ho,
To sadiyon ki thakkan,
Ashkon se dhone se,
Humein khul kar rone de,
Dil-e-be’meher ko chubhte huye,
Khawbon ke pass’manzar mein tu khone de,
Havaa ab humain sone de,
Havaa zidi bohat hai..

Yeh tootna jurrna bohat takleef deta hai..

Mujhe na saans ati hai,
Na mera damm nikalta hai,
Magar yeh beech ka aalam,
Bohat takleef deta hai,
Mujhe andar nigalta hai,
Na saahil par pattakta hai,
Bikharna yun samandar ka,
Bohat takleef deta hai,
Jo tum bolo bikhar jayen,
Jo tum bolo sanwar jayen,
Magar yun tootna jurrna,
Bohat takleef deta hai..

Bohat khamosh reh kr jo, Sadayein mujh ko daita tha..

Bohat khamosh reh ker jo,
Sadayein mujh ko daita tha,
Barre sundar se jazbon ki,
Wafain mujh ko daita tha,
Kabhi jo dard ki aatish mujhe,
Sulganay lagti thi,
Woh apnay saans ki,
Mehki hawaayein mujh ko daita tha,
Usay main ajnabi samjha,
Magar har mor par ‘mohsin’,
Woh apnay naam ki saari
Duaein mujh ko daita tha..

Kissi faqeer ki jholi mein, Jab mene aik sikka daala..

Kissi faqeer ki jholi mein,
Jab mene aik sikka daala,
Tab yeh jaana ke,
Iss mehngayi ke zamaney mein,
Duyaayen,
Aaj bhi kitni sassti hain..

Kuch log bohat yaad atey hain..

Kuch log bohat yaad atey hain,
Phoolon pe shabnam jab parrti hai,
Saawan ki jharri jab lagti hai,
Ya door chaman main phoolon ke,
Koi koyel naghma jab gaati hai,
Ya baad-e-sabaa chupke se,
Dheemi si sargoshi karti hai,
Kuch log bohat yaad atay hain,
Ya taiz aandhi mein bhi kahin,
Wafaa ka deep jo jalta hai,
Ya phir gehri khamoshi main,
Koi pataa kahin sirakta hai,
Ya phir gaaon ki galiyon mein,
Koi be’bas shakss guzarta hai,
Kuch log bohat yaad atey hain,
Jab soonay soonay aanghan main,
Koi tanhaa khud se ulajhta hai,
Jab rim jhim barasti barish mein,
Ik dhundhlaa naqsh ubharta hai,
Ya phir dil ki dharrkan hi,
Paagal si ho jati hai,
Ya iss bheerr mein duniya ki,
Koi khawhish si kho jati hai,
Jab bhoole bhatke pancchi,
Gharon ko laut ke jaate hain,
Kuch log bohat yaad atey hain,
Kuch log bohat yaad atey hain..

Bohat arsaa hua bataya tha mujhe us ne..

Bohat arsaa hua bataya tha mujhe us ne,
Banana kuch nahin aata,
Agar main kuch banati hoon,
To bas chaaye banati hoon,
Piyo ge naa…
To mein iss baat per,
Muskuraata hi raha tha,
Ke banana kuch nahin ata,
Bas ek chaaye banati ho..
Mujhe chaaye se uljhan hai,
Nahin peeta,
Nahin peeta,
Magar is baat ko beetey,
Zamana ho geya logo,
Nahin maloom mujh ko,
Woh kesi hai,
Kahan per hai,
Per ab main chaaye peeta hoon,
Barri qassrat se peeta hoon,
Barri hassrat se peeta hoon..

Halaan’ke mohabbbat kuch bhi nahin..

Halaan’ke mohabbbat kuch bhi nahin,
Alfaz ke jhoote bandhan mein,
Eghraaz ke jhoote pardon mein,
Har shakss mohabbat karta hai,
Halaan’ke mohabbat kuch bhi nahin,
Sab jhoote rishte naatey hain,
Sab dil rakhne ki batain hain,
Kab kon kisi ka hota hai,
Sab assli roop chupaate hain,
Ehsaas se khaali log yahan,
Lafzon ke teer chalate hain,
Aik baar nazar main aa ke woh,
Phir saari umar rulaate hain,
Yeh ishq-o-mohabbat, mehr-o-wafa,
Sab rasmi rasmi baten hain,
Har shakhss khudi ki masti mein,
Bass apni khaatir jeeta hai..

Poora chand ankhon mein bharna..

Poora chand ankhon mein bharna,
Tumse dil mein baaten karna,
Ik jesa hai,
Yeh ankhon mein,
Aur tum dil mein,
Jitne paas ho,
Utna sukh ho,
Kitne door ho,
Dukh hi dukh ho..

Maine us ko itna dekha..

Maine us ko
itna dekha,
Jitna dekha
Ja sakta tha,
Lekin phir bhi
Do ankhon se,
Kitna dekha
Ja sakta tha ?


No comments: