Mohsin Naqvi Poetry
Mohsin Naqvi is our personal
favorite poet. Mohsin Naqvi’s
Poetry tends to be so
relaxing and so soothing to the heart which is inexpressible in words. Mohsin Naqvi was believed to be murdered in 1996.
Who on earth would have thought that such kind of legends would get murdered
one day.
We have got plenty of Sir Mohsin Naqvi poetries here at Ranjish.com so you can enjoy.
We have got plenty of Sir Mohsin Naqvi poetries here at Ranjish.com so you can enjoy.
Kho gayi subah ki umeed aur ab yoon lagta hai..
Kho gayi subah ki
umeed aur ab yoon lagta hai,
Hum nahi hon ge ke jab hon ge ujaale Mohsin..
Hum nahi hon ge ke jab hon ge ujaale Mohsin..
Iss sheher main aesi bhi qayamat na hui thi..
Iss sheher main aesi
bhi qayamat na hui thi,
Tanha they magar khud se to wehshat na hui thi,
Tanha they magar khud se to wehshat na hui thi,
Yeh din hai ke yaron
ka bharosa bhi nahi hai,
Woh din they ke dushman se bhi nafrat na hui thi,
Woh din they ke dushman se bhi nafrat na hui thi,
Ab saans ka ehsaas
bhi ek baar-e-giraan hai,
Khud apne khilaaf aesi baghavat na hui thi,
Khud apne khilaaf aesi baghavat na hui thi,
Ujrre huye iss dil ke
har ik zakhm se pucho,
Iss sheher mein kis kis se mohabbat na hui thi,
Iss sheher mein kis kis se mohabbat na hui thi,
Ab tere qareeb aa ke
bhi kuch soch raha hoon,
Pehle tujhe kho kar bhi nadamat na hui thi,
Pehle tujhe kho kar bhi nadamat na hui thi,
Khawabon ke hawa raas
thi jab tak mujhe Mohsin,
Yoon jaagte rehna meri aadat na hoi hui..
Yoon jaagte rehna meri aadat na hoi hui..
Khushi ka gham hai na gham ki khushi ab to..
Khushi ka gham hai na
gham ki khushi ab to,
Bohat udaas guzarti hai zindagi ab to..
Bohat udaas guzarti hai zindagi ab to..
Sirf eik tarq-e-etaluq ke liye..
Sirf eik
tarq-e-etaluq ke liye,
Tu ne dhoonde hain bahane kya kya..
Tu ne dhoonde hain bahane kya kya..
Meine dekha tha un dinon mein usey..
Meine dekha tha un
dinon mein usey,
Jab woh khilte gulaab jesa tha,
Us ki palkon se neend chanti thi,
Us ka lehja sharaab jesa tha,
Jab woh khilte gulaab jesa tha,
Us ki palkon se neend chanti thi,
Us ka lehja sharaab jesa tha,
Us ki zulfon se
bheegti thi ghataa,
Us ka rukh mahtaab jesa tha,
Log parhte they haal-o-khad us ke,
Woh adab ki kitaab jesa tha,
Us ka rukh mahtaab jesa tha,
Log parhte they haal-o-khad us ke,
Woh adab ki kitaab jesa tha,
Bolta tha zubaan
khushbuu ki,
Log sunte they dharkinon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,
Log sunte they dharkinon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,
Sari aankhen thi
ayiney us ke,
Sarey chehron mein intikhaab tha woh,
Sab se ghul mil kar ajnabi rehna,
Aik darya numaa saraab tha woh,
Sarey chehron mein intikhaab tha woh,
Sab se ghul mil kar ajnabi rehna,
Aik darya numaa saraab tha woh,
Khawb yeh hai ke woh
haqeeqat tha,
Yeh haqeeqat hai khawb tha woh,
Dil ki dharti pe asmaan ki tarah,
Suurat-e-saya-e-sahaab tha woh,
Yeh haqeeqat hai khawb tha woh,
Dil ki dharti pe asmaan ki tarah,
Suurat-e-saya-e-sahaab tha woh,
Apni neendein bhi us
ki nazar hui’n,
Mene paaya tha rat jaggon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,
Mene paaya tha rat jaggon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,
Jab woh hans hans ke
baat karta tha,
Dil ke haimey mein raat karta tha,
Rang parrhte they anchlon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,
Dil ke haimey mein raat karta tha,
Rang parrhte they anchlon mein usey,
Mene dekha tha un dinon mein usey,
Yeh magar dair ki
kahani hai,
Yeh magar door ka fasaana hai,
Us ke mere milaap mein haayel,
Ab to sadiyon bhara zamana hai,
Yeh magar door ka fasaana hai,
Us ke mere milaap mein haayel,
Ab to sadiyon bhara zamana hai,
Ab to hai haal apna
bhi,
Dasht-e-hijraan ki shaam jjesa hai,
Kya khabar woh in dinon kesa hoga,
Mene dekha tha un dinon mein usey..
Dasht-e-hijraan ki shaam jjesa hai,
Kya khabar woh in dinon kesa hoga,
Mene dekha tha un dinon mein usey..
Issi khayaal se guzri hai shaam-e-dard aksar..
Issi khayaal se guzri
hai shaam-e-dard aksar,
Ke dard hadh se jo guzre ga muskuraa doon ga..
Ke dard hadh se jo guzre ga muskuraa doon ga..
Woh khul kar na ro saka ho ga..
Hajoom mein tha, woh
khul kar na ro saka ho ga,
Magar yakeen hai ke shab bhar na so saka ho ga..
Magar yakeen hai ke shab bhar na so saka ho ga..
Teri muntazir theen woh ankhen hi bujh gayin.
Jo teri muntazir
theen woh ankhen hi bujh gayin,
Ab kyun sajaa raha hai charaaghon se shaam ko..
Ab kyun sajaa raha hai charaaghon se shaam ko..
Tere hijar main aur mujhe kya karna hai..
Tere hijar main aur
mujhe kya karna hai,
Tere naam kitaabein likhtaa rehta hoon..
Tere naam kitaabein likhtaa rehta hoon..
Zindagi log jisey marham-e-gham jaantey hain..
Zindagi log jisey
marham-e-gham jaantey hain,
Jis tarah hum ne guzaari hai woh hum jaantey hain..
Jis tarah hum ne guzaari hai woh hum jaantey hain..
Us ki chahat ka bharam kya rakhna..
Us ki chahat ka
bharam kya rakhna,
Dasht-e-hijraan mein qadam kya rakhna,
Dasht-e-hijraan mein qadam kya rakhna,
Hanss bhi lena kabhi
khud per mohsin,
Har gharri aankh ko namm kya rakhna..
Har gharri aankh ko namm kya rakhna..
Aawargi mei mohsin is ko b hunar jana..
Aawargi mei “mohsin”
is ko b hunar jana,
Iqrar-e-wafa kerna, phir us se mukar jana
Iqrar-e-wafa kerna, phir us se mukar jana
Jab khwab nahi koi,
kya zindagi ka karna
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana
Har subh ko jee uthna har raat ko mar jana
Shab bhar k thikane
ko ik chatt k siwa kya hy,
Kya waqt pe ghar jana, kya dair se ghar jana,
Kya waqt pe ghar jana, kya dair se ghar jana,
Aisa na ho darya mei
tum baar-e-garaa’n thehro,
Jab log ziada hon kashti se utar jana,
Jab log ziada hon kashti se utar jana,
Suqraat k peene se
kya mujh pe ayaa’n hota,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana,
Khud zehr piya mei ne tab us ka asar jana,
Jab bhi nazar aao gy
hum tum ko pukare’n ge,
Chaho to thehar jana chaho to guzar jana…
Chaho to thehar jana chaho to guzar jana…
Munhasir Ehl-e-Sitam Per Hi Nahi’n Hai. .
Munhasir ehl-e-sitam
per hi nahi’n hai ‘Mohsin’
Log apno’n ki enayat se bhi marr jatay hain. .
Log apno’n ki enayat se bhi marr jatay hain. .
Diya Khud Se Bujha Dena
Diya Khud Se Bujha
Dena
Hawa Ko Aur Kia Dena ?
Hawa Ko Aur Kia Dena ?
Sitare Nochne Walo
Falak Ko Aasra Dena
Falak Ko Aasra Dena
Kabhi Is Taur Se
Hansna
Ke Dunya Ko Rula Dena
Ke Dunya Ko Rula Dena
Kabhi Is Rang Se Rona
Ke Khud Pe Muskura Dena
Ke Khud Pe Muskura Dena
Main Teri Dastaras
Chahun
Mujhe Aisi Dua Dena
Mujhe Aisi Dua Dena
Main Tera Barmla
Mujrim
Mujhe Khul Kar Saza Dena
Mujhe Khul Kar Saza Dena
Main Tera Munfarid
Sathi
Mujhe Hat Kar Jaza Dena
Mujhe Hat Kar Jaza Dena
Mera Sar Sab Se
Ooncha Hai
Mujhe Maqtal Naya Dena
Mujhe Maqtal Naya Dena
Mujhe Acha Laga
“Mohsin”
Ose Pa
Kar Ganwa Dena
No comments:
Post a Comment