Muzaffar Warsi Poetry
Muzaffar Warsi
Shayari and Muzaffar Warsi Shayari books are here. New Muzaffar Warsi Shayari are added every day.
Ab ke bar barsaat
ab k barsat ki rut
aur bhi bharkili hai
jism se ag nikalti hai, qaba gili hai
jism se ag nikalti hai, qaba gili hai
sochta hun k ab
anjam-e-safar kya hoga
log bhi kanch k hain, rah bhi pathrili hai
log bhi kanch k hain, rah bhi pathrili hai
shiddat-e-karb main
to hansna karb hai mera
hath hi sakht hain zanjir kahan dhili hai
hath hi sakht hain zanjir kahan dhili hai
gard ankhon main sahi
dag to chehre pe nahi
lafz dhundhale hain magar fikr to chamkili hai
lafz dhundhale hain magar fikr to chamkili hai
ghol deta hai samaat
main wo mitha lahja
kis ko malum k ye qind bhi zahrili hai
kis ko malum k ye qind bhi zahrili hai
pahle rag-rag se meri
khun nichora us ne
ab ye kahata hai k rangat hi meri pili hai
ab ye kahata hai k rangat hi meri pili hai
mujhko be-rang hi na
karde kahin rang itne
sabz mausam hai, hawa surkh, fiza nili hai
sabz mausam hai, hawa surkh, fiza nili hai
meri parwaz kisi ko
nahi bhati to na bhaye
kya karun zehan ?Muzaffar? mera jibraili ha
kya karun zehan ?Muzaffar? mera jibraili ha
No comments:
Post a Comment