Occassion Poetry

Occassion Poetry

Urdu Occassion Poetry


Pehle us me aik aada thi naaz tha andaaz tha

Pehle us me aik aada thi naaz tha andaaz tha,
Rothana abb to teri aadat me shamil ho gea ha.

Tujhe Sochna

Teri Ded Jisko Naseeb Hai …. Woh Naseeb Qabil E Deed Hai
Tujhe Sochna Meri Chand Raat …. Tujhe Dekhna Meri Eid Ha

Rote huye bache ko

Ghar se hai Mandir badi door chalo yun kar len
Ek rote hue bachhe ko hansaya jaye

Bicharney Ka Ishara Karkey

Baaton Baaton Mian Bicharney Ka Ishara Karkey
Khud Bhi Roya Woh Buhat Ham Se Kinara Karkey
Sochta Rehta Hoon Tanhai Main Anjam-E-Khuloos
Phir Usi Jurm-E-Mohabbat Ko Dobara Karkey
Jagmaga Di Hain Terey Shehrer Ki Galiyan Main Ne
Apney Askhon Ko Palkon Pe Sitara Karkey
Dekh Letey Hain Chalo Hosla Apne Dil Ka
Aur Kuch Roz Tere Saath Guzara Karkey
Aik Hi Sheher Main Rehna Hai Magar Milna Nahi
Dekhtey Hain Yeh Aziyat Bhi Gawara Karkey

Chahe Jidhar Bhi Rukh Ho

Chahe Jidhar Bhi Rukh Ho Hawa Ka Diya Jale
Jab Tak Chala Na Jaaye Andhera Diya Jale
Milta Rahe Jahan Ko Ujala Diya Jale
Dil Ki Ye Aarzoo Hai Hamesha Diya
Ghar Ho Kisi Amir Ka Ya Ho Gharib Ka
Har Ghar Me Aaj Sham Khushi Ka Diya Jale
Dipawali Ki Sham Kuchh Aisi Ho Roshni
Mit Jaye Har Burai Ka Saaya Diya Jale
Taarikiyan Hon Raat Ki Tu Ho Mere Qarib
Dekhun Main Tere Husn Ka Jalwa Diya Jale
Honton Se Tu Pilaye Main Peeta Rahun Sharab
Bujhne Na Paaye, Pyaas Ka Aisa Diya Jale
Fezan Roshni Ho Mohabbat Ki Bazm Me
Shamma Jale Chiragh Jale Ya Diya Jale

Diwali Aayee Hai

Diwali Aayee Hai Rang Bi Rangi Jyoth Jalti Hai
Charon Taraf Khushiyon Ka Aab-O-Hawa Chaayi Hai
Phuljadiyan,Phataka Sabke Mann Ko Bhaye Hai
Garaj Garaj Kar Varsha Ki Ruth Aasmaan Par Chaayi Hai
Diwali Aaye Rang Rang Ke Tayyari Jeevan Mein Jyoth Jalti Hai
Khushiyon Ka Vatavaran Chaaya Hai Bache Khele Phuljadiyan
Deepak Diya Ki Roshan Har Pal Sabke Jeevan Mein Chaayi Hai
Aao Saath Milkar Manaye Diwali Ki Subh Ghadi Aayee Hai
Shubkamna Bejh Rahi Hoon Sabke Dil Mein Diwali Chaayi Hai
Diwali Ke Iss Pawan Avsar Sabke Dil Mein Dhoom Machayi Hai..

Ham Bhi Eid Karein

Tum Aao To Ham Bhi Eid Karein
Hasrat Hai Tumhari Deed Karein
Kuch Dair To Dil Ko Chain Miley
Kuch Roz To Mun K Phool Khiley
Tum Aao To Ham Bhi Eid Karein
Tum Se Yeh Aik Guzaarish Hai
Yeh Apney Dil Ki Khuwahish Hai
Ik Baar Milo , Ik Baar Milo,
Har Baar Yahi Taakeed Karein

Eid Eid Karte Kiun Karte Ho

Arz Kia Hai?
Zara Ghor Farmaiiye
Arz Kia Hai
Eid Eid Karte Kiun Karte Ho
Eid Bhi Aajayegi
Kia?
Eid Eid Karte Kiun Ho
Eid Bhi Aajayegi
Ramzan Ke Pure Rozay Rakho
Aqal Thikane Aajayegi

Wafa Ke Rung

Wafa Ke Rung Mein Doobi Har Shaam Yoindia? Tere Liye,
Yeh Dagar, Yeh Nagar,Mera Naam Bus? Tere Liye,
Too Mahakti Rahe Chandni Raaton Ki Tarah,
Iss Naye Saal Ka Paigam Ai Yoindia Tere Liye

No comments: