Tuesday, 17 February 2015

Woh khushbuu bheja karti thi main nazmein likhta rehta tha..

Woh khushbuu bheja karti thi main nazmein likhta rehta tha,
Woh hanss ke ujaalata karti thi, Main subhain likhta rehta tha,
Geeli rait pe saahil ki doobte huye sooraj ke hamraah,
Woh chup chaap chalti rehti thi, Main sochain likhta rehta tha,
Deep wafa ke hote they ya shayed do taarey they,
Woh mujh ko dekha karti thi main aankhain likhta rehta tha,
Tapti dhoop ka rang bhi to phoolon sa ho jata tha,
Woh zulfein khola karti thi main shaamain likhta rehta tha,
Toot kar aksar chahat main, Rooth kar yunhi ulfat main,
Woh mujh ko jeeta karti thi main haarain likhta rehta tha,
Dono ki pehli chahat thi, dono toot ke milte they,
Woh waadey likha karti thi main kasmain likhta rehta tha,
Chand din jab aa thehre they us ki aur meri judaayi main,
Main us ke haath pe pehron phir lakeerein likhta rehta tha,
Jaan se peyare se shikwa, kya khud ko ruswaa karna tha,
Main apne honton pe chup ki bas mohrain likhta rehta tha,
Din main dard ki shiddat ko main hanss ke seh jata tha,
Jo uss ke bin katt’ti theen woh raatain likhta rehta tha,
Dasht-e-wafaa main basne ka dekh haasil aye Sehraa Naward*,
Main yaadain likhta rehta hoon, main yadain likhta rehta tha..
(Sehraa Naward:sehraa main bhatakne wala, one who wanders in the desert)

No comments: