Aansoo Shayari

Aansoo Shayari

Aansoo means Tears, So this is another unhappy form of Urdu poetry.Aansoo shayari is loved by people who are depressed and are in tears.Aansoo shayari is a popular topic in urdu poetry.

Jo zubaan se beyaan nahin hote..

Jo zubaan se beyaan nahin hote,
Unhi lafzon se ashkk bante hain..

Mujhe tum yaad atey ho..

Zamaane ke sawalon ko main hanss ke taal doon lekin,
Nammi ankhon ki kehti hai mujhe tum yaad atey ho.

Raah takte jab thak gayi meri aankhain..

Raah takte jab thak gayi meri aankhain,
Phir tujhe dhoondne meri aankh ke aansu nikle..

Kami nahi hai kisi cheez ki magar..

Kami nahi hai kisi cheez ki magar,
Akela beth ke roya hoon zaar zaar bohat..

Zabt karna hai to phir hadh se guzarna ho ga..

Zabt karna hai to phir hadh se guzarna ho ga,
Khoon ho jaye yeh dil, aankh na bharne paye..

Aik lamhe me mere man ko bhigo deti hai..

Aik lamhe me mere man ko bhigo deti hai,
Uski har baat hi saawan ki tarah lagti hai..

Kis qadar dil-shikkan they mohabbat ke rastey..

Kis qadar dil-shikkan they mohabbat ke rastey,
Armaan phir koi zindagi mein kar na sake..

Bohat andar tak tabaahi machaata hai..

Bohat andar tak tabaahi machaata hai,
Woh aansuu jo behne se ddar jaye..

De ga agar dard to khud bhi doobay ga..

De ga agar dard to khud bhi doobay ga,
Woh ek shakss jo ankhon me rehta hai..

Zamaaney ke sawaalon ko main hans kar taal doon..

Zamaaney ke sawaalon ko main hans kar taal doon lekin,
Nami ankhon ki kehti hai mujhe tum yaad aatey ho..

Ronay waley tujhe ronay ka saleeqa hi nahi..

Ronay waley tujhe ronay ka saleeqa hi nahi,
Ashqq peenay ke liye hain bahaney ko nahi..

Kuch is adaa se ishq ke sadmey uthaayiye..

Kuch is adaa se ishq ke sadmey uthaayiye,
Dil gham se ro raha ho, magar muskuraayiye..

Kya karein ab to yeh lafzon mein ayaan hotey hain..

Kya karein ab to yeh lafzon mein ayaan hotey hain,
Aik muddat se jo hum hum ne they chupaaye aansuu..

Phir aaj ashk se ankhon mein kyun hain aye..

Phir aaj ashk se ankhon mein kyun hain aye huye,
Guzar geya hai zamaana tujhe bhulaaye huye..

In ko Nasir na kabhi ankh se girne dena..

In ko Nasir na kabhi ankh se girne dena,
Un ko lagte hain meri ankh mein pyare aansu..


3 comments:

Anshu Mittal said...

Very Nice!!
Visit more for Aansu Shayari
उन्हें हमसे छुटकारा मिल गया ,
मगर हमे उनके दिए अश्क़ों से नहीं।

Anshu Mittal said...

Very Nice Collection!!
Want to read my collection of Aansu Shayari
मेरे लहज़े से शराफत क्या झलकी ,
लोगों ने मुझे बड़े चैन से लूटा।

Free load said...

Nice poetry visit

Www.Poetrypoints.com and read more