Gazal Shayari

jaisay sooraj ki kiran

mein nay iss taur se chaha tujhe aksar janaan
jaisay mahtab ko be-ant samander chahay
jaisay sooraj ki kiran seep ke dil mai utray
jaisay khushbu ko hawa, rung se hut ker chahay
jaisay pathhar ke kalaijay se kiran phoot-ti hai
jaisay ghunchay khulay mausam se hina mangtay hein
jaisay khaaboan mai khayaloan ki kamaan toot-ti hai
jaisay barish ki dua aabla-pa mangtay hein
mera har khaab meray such ki gawahi de ga
wus?at-e-deed ne tujh se teri khaahish ki hai
meri sochoan mai kabhi dekh sarapa apna!
mai ne duniya se alag teri parastish ki hai
khaahis-e-deed ka mausam kabhi dhundla jo hua
noach daali hain zamanay ki naqabain mai ne
teri palkoan pay utarti hui subhoan k liye
toar daali hain sitaroan ki tanabain main ne
mai nay chaha keh teray husn ki gulnaar fiza
meri ghazlon ki qataron se mehekti jaey
mai ne chaha keh meray fun ke gulistaan ki bahaar
teri aankhoan ke gulaboan se mehekti jaye
tai to yeh tha keh sajata rahay lafzoan ke kanwal
meray khamosh khayaloan mai takallum tera
raqs kerta rahay, bharta rahay, khushbu ka khumaar
meri khaahish ke jazeeroan mein takallum tera
tu magar ajnabi mahol ki parwardah kiran
meri bujhti hoi ratoan ko sahar ker na saki
teri sansoan mai maseehai to thee laikin tu bhee
chara-e-zakhm-e-gham-e-deeda-e-tarr, ker na saki
tujh ko maloom hi kab hai keh kisi dard ka daagh
aankh se dil mein utar jaey to kya hota hai???
tu keh seemab tabiyat hai tujhe kya maloom
mausam-e-hijr theher jaey to kya hota hai
tu nay uss moar pay tora hai ta?alluq keh jahan
dekh sakta nahin koi bhee palat ker janaan
abb yeh aalam hai keh ankhain jo khulain gee apni
yaad aey ga teri deed ka manzar janaan
mujh se maangay ga teray ehd-e-mohobbat ka hisaab
teray hijraan ka dehekta hua mehshar janaan
yoon meray dil ke barabar tera gham aya hai
jaisay sheeshay ke maqabil koi pathhar janaan!!!
jaisay mahtaab ko be-ant samander chahay
mai ne iss taur se chaha tujhay aksar janaan!!!


Aankhon se mere is liye laali nahin jati..

Aankhon se mere is liye laali nahin jati,
Yaadon se koi raat jo khaali nahin jati,
Ab umar, na mausam, na woh raste ke woh paltte,
Iss dil ki magar khaam khayali nahin jati,
Magar tu agar jaan bhi to hanss ke tujhe de dein,
Teri to koi baat bhi ttaali nahin jati,
Aaye koi aa ke yeh tere dard sambhaale,
Hum se to yeh jageer sambhaali nahin jati,
Maloom humain bhi hain bohat se tere qisse,
Yeh baat teri hum se to uchaali nahin jati,
Humraah teri phool khilaati jo dil main,
Ab shaam wohi dard se khaali nahin jati,
Hum jaan se jaayen ge tabhi baat bane gi,
Tum se to koi raah nikaali nahin jati..

Rahon pe nazar rakhna, honton pe dua rakhna..

Rahon pe nazar rakhna honton pe dua rakhna,
Aa jaye koi shayed darwaza khula rakhna,
Ehsaas ki shamaa ko is tarah jalaa rakhna,
Apni bhi khabar rakhna us ka bhi pata rakhna,
Raaton ko bhatakne ki deta hai saza mujhe,
Dushwaar hai pehlu main, dil tere bina rakhna,
Logon ko nigaahon se parh lene ki aadat hai,
Logon ki tehreeron ko logon se bacha rakhna,
Bholoon main agar aye dil, tu yaad dila dena,
Tanhai ke lamhon ka har zakham haraa rakhna,
Ik boond bhi ashkon ki daaman na bhigo paaye,
Gham uss ki amaanat hai, palkon pe sajaa rakhna,
Iss tarah Qateel us se bartaao rahe apna,
Woh bhi na bura maane, dil ka bhi kahaa rakhna..

Taluq rakh liya baaki, yakeen torr aya hoon,..

Taluq rakh liya baaki yakeen torr aya hoon,
Kisi ka saath dena tha kisi ko chorr aya hoon,
Tumhare saath jeene ki kasam khaane se kuch pehle,
Main kuch vaade, kayi kasmen, kahin pe torr aya hoon,
Mohabbat kaanch ka zinaaan thi, yoon sang-e-garaan kab thi,
Jahan sir phorr sakta tha, wahan sir phorr aaya hoon,
Palat kar aa geya lekin yoon lagta hai ke apna aap,
Jahan tum mujh se bichrre they wahin rakh chorr aya hoon,
Usey jaane ki jaldi thi so main ankhon hi ankhon main,
Jahan tak chorr sakta tha, wahan tak chorr aaya hoon..

Likh kar saari raam kahani bhejoon ga..

Likh kar saari raam kahani bhejoon ga,
Kaaghaz per paani hi paani bhejoon ga,
Shayed ab woh mujh ko na pehchaan sake,
Main apni tasveer purani bhejoon ga,
Khul jayen ge saare raste mehlon ke,
Ab ke aesi aik nishaani bhejoon ga,
Bhejoon ga main yaad ki chitthi tohfe main,
Aankhen, baarish, aur jawaani bhejoon ga,
Kesi kesi kasme khaayi thieen us ne,
Agle khat main yaad’dihaani bhejoon ga..

Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese..

Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese,
Woh kar ke mujhe qatal mukarta bhi to kese,
Yaadon ki hawaa aankh se takraa ke jo guzri,
Baadal ne barasnaa tha theherta bhi to kese,
Jo waqt ke saath aur bhi ho jata hai gehra,
Woh zakham-e-nihaa’n bharta bhi to kese,
Ambar bhi bhulaa deta hai tootay huye taarey,
Main kya hoon woh yaad mujhe rakhta bhi to kese,
Nadaan they hameen kafan sar per baandh ke aaye,
Bedard woh jaan se guzarta bhi to kese..

Raat bhar teri yaadon ki ridaa jaagti hai..

Raat bhar teri yaadon ki ridaa jaagti hai,
Aur saath taaron ki zeyaa jaagti hai,
Jis waqt sheher mein neend ki pariyaan utrein,
Dil main tere khayal ki absraa’a jagti hai,
Aah, woh vasl ki raat, aayi gayi ho gayi,
Haaye yeh hijar ki raat qatra qatra jagti hai,
Kahan le aaye yeh mohabbat ke zakham mujhe,
Namak kholta hai, aur hawaa jagti hai,
Kaj-adaayion ke mausam main koi peer-e-mughaan,
Kehta hai abhi loh-e-wafaa jagti hai,
Yeh rat’jage kabhi apni maan se to nahin kahe,
Phir bhi mere sang ik duaa jagti hai..

Bewafa koi nahin hai, bawafa koi nahin..

Bewafa koi nahin hai bawafa koi nahin,
Aashiqi aur hussn main ab wasta koi nahin,
Log hain be’meher ya rasm-e-gadaayi na rahi,
Sheher ki galiyon main gada’a koi nahin,
Na’rasaayi ka woh aalam hai ke ehl-e-dard ke,
Haath phailey hain magar lab pe dua koi nahin,
Tangi-e-halaat main kese badal jaate hain log,
Jaante hain sab magar pehchaanta koi nahin,
Bik gayi ghairat jane kab kis bazaar main,
Dukhtar-e-milat ke sar per koi ridaa koi nahin,
Dhaar khanjar ki shanaasa, Teer bhi manoos se,
Hain sabhi apne yahan per doosra koi nahin,
Dekh kar zulm-o-sitam sabhi nazrain chura lete hain,
Sab zubaan rakhte hain lekin bolta koi nahin,
Khaa geya dil ko, jigar ko reza reza kar geya,
Dard aesa hai Qamar ke jis ki dawaa koi nahin..

Main to ashiq hoon, Deewana na banana mujhko..

Kacchi deewar hoon thokar na lagana mujh ko,
Apnni nazron main basaa kar na giraana mujh ko,
Tum ko aankhon main tasawwur ki tarah rakhta hon,
Dil main dharrkan ki tarah tum bhi basaana mujh ko,
Baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil main,
Main samajh jaaon ga aankhon se batana mujh ko,
Vaada utna hi karo jitna nibhaa sakte ho,
Khawb poora jo na ho woh na dikhaana mujh ko,
Apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena,
Main to aashiq hoon, deewana na banana mujh ko..

Gulshan ki baharon pe sar-e-shaam likha hai..

Gulshan ki baharon pe sar-e-shaam likha hai,
Phir uss ne kitaabon pe mera naam likha hai,
Yeh dard musalssal meri duniya main rahe ga,
Kuch soch ke us ne mera anjaam likha hai,
Jis ne meri jaanib kabhi murr kar nahin dekha,
Suna hai uss shakss ke hathon pe mera naam likha hai..

Darwaza koi ghar se nikalne ke liye de..

Darwaza koi ghar se nikalne ke liye de,
Behauf koi raasta chalne ke liye de,
Aankhon ko khawb ataa kiye shukria lekin,
Paikar bhi koi khawbon main dhalne ke liye de,
Sehmi huyi shaakhon ko zara si koi mohlat,
Sooraj ki sawaari ko nigalne ke liye de,
Sab waqt ki deewar se sar phorr rahe hain,
Koi humain bhi to raasta bhaag nikalne ke liye de,
Sailaab main mujh ko aye phenkne wale,
Toota hua aik pal hi sambhalne ke liye de,
Bedard mohabbatain hain bedard dilon ki,
Koi cheez to inhe bhi pighalne ke liye de..

Shor hai kyun gali gali dekho..

Patiyaan ho gayi hain hari dekho,
Khud se bahaar bhi to kabi dekho,
Phir khilli kya koi kalli dekho,
Shor hai kyun gali gali dekho,
Yaad aur yaad ko bhulaane main,
Umar ki fassal katt gayi dekho,
Subah ki fikar baad main karna,
Raat kitni katt gayi dekho,
Zindagi kis tarah tumhari Nizam,
Uljhanon main ulajh gayi dekho..

Hum aik sheher main ab khush bhi reh nahi sakte..

Judaa hone ka andesha bhi seh nahin sakte,
Hum aik sheher main ab khush bhi reh nahi sakte,
Yeh roz-o-shab hain hamare ke aik dusre se,
Chupaaye phirte hain ehwaal, keh nahin sakte,
Shakist-e-zaat ka izhaar chahte bhi nahin,
Ajeeb haal hai, hum chup bhi reh nahin sakte,
Haqeeqton ki chattaanain bhi apni raah main hain,
Khayaal-o-khawb ke daryaa main bhi reh nahin sakte,
Woh beqasoor hai esi bhi koi baat nahin,
Qasoor vaar hain hum, yeh bhi keh nahin sakte..

Choota jo tera haath to hum toot ke roye..

Choota jo tera haath to hum toot ke roye,
Tum jo na rahe saath to hum toot ke roye,
Chahat ki tamanna thi aur zakhm diye tum ne,
Paayi jo yeh saughaat to hum toot ke roye,
Imkaan na tha door talak tajdeed-e-talluq ka,
Dekhe jo yeh halaat to hum toot ke roye,
Anjaan they hum ab tak dard ki surat se,
Huyi jo mulaqaat to hum toot ke roye,
Logon se bohat poocha sabab veerani ka,
Jo soojhi na koi baat to hum toot ke roye,
Thi dhoop bohat taiz har simt judayi ki,
Barsi jo na barsaat to hum toot ke roye,
Din bhar to rahe chup ke duniya ki nazron se,
Bheegi jo seyaah raat to hum toot ke roye,
Samjha tha sadaa tujh ko apna hi ik hissa,
Tukrron main batti zaat to hum toot ke roye,
Hum karte rahe kyun uss chaand ki khawhish,
Yaad aayi jo aukaat to hum toot ke roye..

Bhare saagar main mojon ko kinara chaiye koi..

Bhare saagar main mojon ko kinara chaiye koi,
Meri pur’ashk ankhon ko nazara chahiye koi,
Tere dar pe jo yun aa aa kar laut jaate hain,
Teri jaanib se hum ko ishara chhaiye koi,
Kaho tum ke kon ho pyare, kahan se loat aye ho ?
Barre be’jaan dikhte ho, sahara chahiye koi ?
Tere sheher-e-wafa main to faateh nahin milna koi,
Warna hum to haazir hain, agar haara chahiye koi,
Mera dil tukrra tukrra hai idhar sham-e-tanhai ka alam,
Magar tujhe bhi to hawass ka hi maara chahiye koi,
Abhi hoon taaq mein, rakh kar sari khushiyan muntazir,
Manaaon ga jashan main bhi, pyaara chahiye koi,
Ajab dil main hai mojzaa, kuch din se paraayi yaad,
Humain phir aik dard ik shayed udhaara chahiye koi,
Main apne dil se poochon, madaawa gham ka kya hai,
To ziddi dil yeh kehta hai, dobara chahiye koi,
Beyaan karti hain dil ka dard meri yeh laal aankhain,
Mera har ashkk kehta hai, chaara chahiye koi,
Nahin in chaand taaron se mujhe koi bhi matlab,
Mujhe to ab muqaddar ka sitara chhaiye koi..

Woh khushbuu bheja karti thi main nazmein likhta rehta tha..

Woh khushbuu bheja karti thi main nazmein likhta rehta tha,
Woh hanss ke ujaalata karti thi, Main subhain likhta rehta tha,
Geeli rait pe saahil ki doobte huye sooraj ke hamraah,
Woh chup chaap chalti rehti thi, Main sochain likhta rehta tha,
Deep wafa ke hote they ya shayed do taarey they,
Woh mujh ko dekha karti thi main aankhain likhta rehta tha,
Tapti dhoop ka rang bhi to phoolon sa ho jata tha,
Woh zulfein khola karti thi main shaamain likhta rehta tha,
Toot kar aksar chahat main, Rooth kar yunhi ulfat main,
Woh mujh ko jeeta karti thi main haarain likhta rehta tha,
Dono ki pehli chahat thi, dono toot ke milte they,
Woh waadey likha karti thi main kasmain likhta rehta tha,
Chand din jab aa thehre they us ki aur meri judaayi main,
Main us ke haath pe pehron phir lakeerein likhta rehta tha,
Jaan se peyare se shikwa, kya khud ko ruswaa karna tha,
Main apne honton pe chup ki bas mohrain likhta rehta tha,
Din main dard ki shiddat ko main hanss ke seh jata tha,
Jo uss ke bin katt’ti theen woh raatain likhta rehta tha,
Dasht-e-wafaa main basne ka dekh haasil aye Sehraa Naward*,
Main yaadain likhta rehta hoon, main yadain likhta rehta tha..
(Sehraa Naward:sehraa main bhatakne wala, one who wanders in the desert)

No comments: