Patriotic Shayari

Patriotic Shayari

If you love your country and you are a patriotic human being, this section is made for you. Whether you are from Pakistan or India, we have got poetries to suit you.

Tum yeh kese kar lete ho..

Tum yeh kese kar lete ho,
Jis waqt ke bache,
Aapas mein khelte hain,
Tum maut se larrtey rehte ho,
Jab maaon ki hath ki garmi se,
Jaarray mein dhoop nikalti hai,
Tum barf ki poshaakein pehne,
Sardi se larrtey rehte ho,
Jab raat ko sab apne apne ghar,
Neend ka qarz chukaatey hain,
Tum kis ki khaatir jaagtey ho,
Jab bache apne baap ke seeney se,
lag kar so jayen,
Tum apne battway mein apne bachon ki,
Tasveer ko dekhtey rehte ho,
Jab behnein eid’on par bhayiyon ki
Nazar utaarein,
Tum sehraa’on ki jalti rait per,
Tum un ki chithhii parhtey ho,
Jab lakht-e-jigar ki doori se,
Maan ki aankh tar ho jaye,
Tum us mein bethe sarhad ki nigrani
kartey rehte ho,
Jab har umeed ki khirrki per
Bebasi jaalay buunti ho,
Tum aesi tez hawaaon mein,
Har simt ko urrtay phirtay ho,
Tum yeh kese kar lete ho,
Tum is qaum ke saarey gham,
Apne kese kar lete ho,
Har mushkil mein is mitti
per martey rehte ho,
Tum yeh kese kar lete ho..
(Originally written for Pakistan Army by Ghulam Ahmad)

Tum Fojiyon Se Mohabbat Kyun Karti Ho?

Tum Fojiyon Se Mohabbat Kyun Karti Ho,
Hum Fojiyon Se Mohabbat Na Kiya Karo, Maan,
Hamare Janazey Hamesha Jawaan Uthte Hain,
Aur Meri Maan,
Yeh Sun Kar Ro Diya Karti Thi,
Kahin Jo Tumhen Meri Maan Miley,
Tou Usey Kehna,
Woh Fojiyon Se Mohabbat
Na Kiya Kare,
Darwazey Ki Chokhat Per Beth Kar,
Mera Intizar
Na Kiya Kare,
Tum Meri Maan se Kehna,
Woh Roya Na Kare…

Tum Roti Kapraa Kya Do Ge..

Tum pait pe laat to mar chuke, Ab kitne paaon pasaro ge,
Tum roti Kapraa kya do ge, Tum log kafan bhi utaaro ge,
Yeh baazi bhook ki baazi hai, Yeh baazi tum hi haaro ge,
Har ghar se bhooka nikle ga, Tum kitne bhookey maaro ge..

Maan Achi Tarah Tyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai..

Maan Achi Tarah Tyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai,
Bohat Sa Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din Hai,
Sabhi Behno Ki Muhabbat Aaj Muje hi Ko Dey Do,
Dil-o-Jaan Nisaar Karna, Aj Mera Akhri Din ha,
Abbu ha Ammi ha Behan Bhai ha Saray,
Muj Ko Na Shumar Karna, Aj Mera Akhri Din ha,
Tumhay Staya, Tumhay Rulaya, Bohat Dukh diye hai tum ko,
Mujhe Maaf Meray Yaar Karna, aj Mera Akhri din ha,
Mai Chala KHUDA HAFIZ, Phir Milay Gey Jannat ma,
Maa Akhri Baar Pyar Karna, Aj Mera Akhri Din ha….!
(Dedicated to Pakistan Army)

Inqalab – Beth rehne se kuch nahin ho ga aik din inqilaab aye ga

Sar jalayen gay roshni ho gi
us ujalay men faislay hongay
roshnai b khoon ki ho gi
aur wo faqa kash qalam jis men
jitni cheekhon ki dastanen hen
un ko likhnay ki arzoo ho gi
na he lamha qarar ka ho ga
na he rasta farar ka ho ga
wo adalat gareeb ki ho gi
jaan atki yazeed ki hogi
aur phir aik faqeer ka bacha
masnadon par bithaya jaye ga
aur tarazoo k dono palarron men
surkh lamhon ko tola jaye ga
saabqa hakmeen hazir hon
naam aur wald bola jaye ga
jo yateemon ki taraf uthy thay
aisay hathon ko tore dalen gay
aur jisnay rondi gareeb ki asmat
us ki gardan maror dalen gay
jis ne bechi hai qalam ki taqat
jis ne apna zameer becha hai
jo dukanen sajaye bethay hen
sach se daman churaye bethay hen
jis ne becha azaab becha hai
muflison ko saraab becha hai
dil ko be hisaab becha hai
kuch ne roti ka khawab becha hai
ab kis tarah kahen hum
k qom ne khud ko
kis taraha
bar bar becha hai
kis taraha
bar bar becha hai
faiz -o- iqbal ka parosi hun
ek tarap maray khoon men b hai
aankh men silsila hai khawabon ka
ek mehak maray chaarsoo b hai
jhoonpari k naseeb badlen gay
phir kahin inqilaab aye ga
beth rehnay se kuch nahin ho ga
aik din inqilaab aye ga
This is a motivational poem, often recited by Abrar ul Haq on his political rallys to motivate youth to bring change in Pakistan. 

Mein apni sarzameen per maut dekhoon

Mere liye itna kaafi hai ke,
Mein apni sarzameen per maut dekhoon,
Aur yahin dafan hoon,
Aur is miti mein pighal kar phel jaaon,
Phir phool ki tarah zameen se bahar nikloon,
Mere des ke bache is ke sath khelein,
Mere liye itna hi kaafi hai
Ke mein apne watan ki gaud mein rahoon,
Is tarah jese muthi bhar gard,
Bahaar ki ghaas ki tarah,
Aik phool ki maanin…
(Gaud:Lap)(Gard:Dust)(Sarzameen:Land)(Ghaas:Grass)

Jeena hai to …

Khaamosh-mizaajiii tujhay jeenay nahi degy.
Is dorr mai jeena hai tho kohraam macha do..

Aey Paak Watan

?Aey Paak Watan?
aey pak watan jab bhi tu ne pukara
hum barh kar badal daingay burray waqt ka dhara
niklain gay kafan baandh k sar pe teray betay
goonjay ga arsh pe teray naam ka na?ara
hum teri mohabbat ki qasam khaye huwaye hain
aey pak watan tu humain jaan se piyara hai
yeh shehar, yeh karriye, yeh gulistan, yeh bahaarain
jannat se fuzoon tar teray sehraa ka nizara
bin teray apna koi thikana bhi nahi hai
bin teray kahan dhoondnay jayengay sahara
hai meray liye TAKHAT E SULEMAAN teri mitti
hai mujh ko teri khaak ka bhi sitara

Qarz

?Qarz?
Hum Khoon Ki Qistain Tow Bohat De Chukay Lakin
Aey Khaak E Watan!!! Qarz Ada Kiyun Nahi Hota

MERAY WATAN

?MERAY WATAN!!!?
bus iss khayaal se zinda hain , tu humara hai
jo tu raha na tow kuch nahi rahay ga jeenay main
meray WATAN!!! tujhay kaisay yeh dhoop chatay gi
hazaar MAA?ON k anchal hain teray seenay main

Qadam Milaao

?Qadam Milaao?
bachon agay qadam barhaao
apnay parcham ko lehraao
khaamoshi hai achi aadat
par jab bolo rung jamaao
yakjehti ka suraj chamkay
ik doojay se qadam milaao
KHALIQ hai saansaar ka woh hi
USS ki AZMAT k gunn gaao
ilam o amal ka pekar ban kar
saari duniya par chaa jaao
sach main sakoon sach main rahat
jhoot se Aasi tum sharmaao

yaad e watan

yaad e watan
hum bhi araam utha saktay thay ghar pe reh kar
hamain bhi paala tha MAA BAAP ne dukh seh seh kar
waqt e rukhsat unnhain itna bhi na aye keh kar
goud main ansu jo tapkay rukh se beh kar
ussay hi tifal samajh lena ji behlanay ko
hum ne jab wadah e ghurbat main qadam rakha tha
doour tak YAAD E WATAN ayee thi samjhanay ko.

Tu watan ki aabro hai

tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah
yeh hawaon k musafir , yeh samundaron k raahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi
yeh tera yaqeen mehkam , teri himmaton ki jaan hai
teray bazo?uon ki kuwwat teray azm ka nishaan hai
tu hi raah , tu hi manzil , tu hi meer e karwaan hai
yeh zameen teri hai , yeh jahaan tera jahaan hai
tu watan ka pasbaan hai , teray haath main hai shaahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi
teri abro?uon ki junbash teri ankh ka ishaarah
teray dushmano ki aafat , teray qehar ka ishaarah
tu watan ki aabro hai , tu watan ka hai sahaarah
iss aabro se chamka iss dais ka sitaarah
yehi bankapan hai tera , yehi teri kaj-kalaahi
meray sir bakaf mujhahid , meray sar shikan sipahi

Haathon Mein Haat

Haathon Mein Haath
Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman
Aaein gay ghum, Aayay gi khushi
Manzil Chahay, Mushkil Sahee
Aagay Barhoo
Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman
Aangan aanagan khushiyan manaein
Apni zameen ko milke sajaein
yehi hai dua
Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman
Wada karo, saath chalain
Irada karo, saath jeeain
Yunhi Sada
Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman
Veeran rahain, Raushan banaein
Bhatkay huoon ko, rasta dikhaein
Jeenay ka
Haathon mein haath liyay, Chalay yonhi karwan
Apni Zameen Hai, Apna hai aasman

Qabron main nahi

qabron main nahi hum ko qitabon main utaro
hum log muhabbat ki kahani main mare hain


No comments: