Poetry For Girls

Poetry For Girls

If you are a Mother, a daughter, a wife or a sister, this page is for you. You can have the best poetry for girls here. The poetry here is totally related to girls and women, how they love and feel, how they treat their loved ones, and how they feel when they fall in love, and everything that a girl can ever think of. This section of this website is dedicated to the poetries related to mothers, sisters and daughters.

Khud main uljhi uljhi hai..

Khud main uljhi uljhi hai,
Per baalon ko suljhaaye..

Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon..

Jahan se chali thi waheen pe kharri hoon,
Mein teri mohabbat ki aesi gharri hoon,
Tere hath mein thi mohabbat ki gurriya,
Jahan pe rakha tha waheen pe parri hoon,
Tujhe bhool janey ka socha tha lekin,
Barri dair tak aaj khud se larri hoon,
Tere sang barish mein chhatri ke neechey,
Mujhe yoon laga jese mein bhi jharri hoon,
Teri zaat se mein bhi mansoob ho kar,
Atoot ang hoon zindagi ki karri hoon,
Mera bachpna-pan hai mohabbat mein shamil,
Mohabbat mein qadd se zeyada barri hoon..

Paraaye Ghar Ki Beti Jal Rahi Hai!

Paraaye ghar ki beti jal rahi hai, Acha moqa hai!
Bujha do piyas sholo’n ki, Kanaster daal do us per
Sulagtey bainn sun kar ab nahi’n bedaar ho gi woh
Kahani so gai, Phoolo’n ki chaadar daal do us per
Ek strature k pahiye ghoomtey hain burn unit mein
Ye manzer dhaanp do, Acha sa manzer daal do us per. . !

Aye jahez ke maaro tum na samajh paao gey..

Aye jahez ke maaro tum na samajh paao gey,
Baap ki majbooriyo’n ko betiyan samajhti hain..

Kaamp uthti hoon main yeh soch kar ..

Kaamp uthti hoon main yeh soch kar tanhayi mein,
Mere chehrey pe tera naam na parrh le koi..

Betiyan sab ke muqaddar mein kahan hoti hain..

Betiyan sab ke muqaddar mein kahan hoti hain,
Ghar khudaa ko jo pasand aye wahan hoti hain..


Woh aksar mujh se kehti thi, Wafa hai zaat aurat ki..

Woh aksar mujh se kehti thi,
Wafa hai zaat aurat ki,
Magar jo mard hote hain,
Bohat be’dard hote hain,
Kisi bhanwre ki surat,
Gul ki khushbu loot jate hain,
Suno, tum ko kasam meri,
Riwayat torr dena tum,
Na tanha chorr ke jana,
Na yeh dil torr ke jana,
Magar phir yu’n hua ik din,
Mujhe anjaan raste per,
Akela chorr kar usne,
Mera dil torr kar usne,
Mohabbat chorr di usne,
Wafaa hai zaat aurat ki,
Riwayat torr di us ne..

Mene socha tha, Aj aap ayen ge to ro doon gi..

Mene socha tha,
Aj aap ayen ge to ro doon gi,
Aap puchain ge,
To sab haal keh doon gi,
Keh doon gi ke kitne din huye soyi nahin,
Woh konsi bhool hai jo huyi nahin,
Kitaab fridge mein, Glass shelf mein rakha,
Peer ka din tha jumeraat likha,
Saheli se shikwa karna tha usey spaas likha,
TV per geet tha Azaan nahin,
Mene chonk kar aanchal sar per rakha,
Kya haal kar diya mera,
Mujhe kisi kaam ka na rakha,
Aur…
Jab aap ne aakar poocha,
Kya haal hai ?
To mein itna hi keh saki,
“Theek Hoon”..

Har ek larki hoti hai maa baap ki jaan

Har ek larki hoti hai maa baap ki jaan,
Facebook par photo dalkar na karo badnaam,
Kya pta us din yeh dharti hi hil jaye,
Jab kisi page par tumhari behan ki photo mil jaye,
Us din aankh se bebasi ke aansu mat rona,
Main sach kahti hun logo apne zameer ko mat khona..

Mujhay itna pyar na do Baba..

Mujhay itna pyar na do Baba,
Kal jitna mujhay naseeb na ho,
Ye jo maatha chuma kertey ho.
Kal is per shikan ajeeb na ho
Main jab bhi roti hon Baba
Tum ansoo poncha kertey ho
Mujhay itni dooor na chor aana
Main roun aur tum kareeb na ho
Meray naz uthatey ho Baba
Meray laad uthatey ho Baba
Meri choti choti khwahish per
Tum jan lutatey ho Baba
Kal aisa na ho ik nagri mein
Mein tanha tum ko yaad karon,
Aur ro ro ker faryad karon
Ay Allah meray Baba sa,
Koi pyar jataney wala ho,
Mere Naz Uthaney wala ho..!!!!


Khilono ki Jaga Dil toot`ta hai

Khilono ki Jaga Dil toot`ta hai,
K Guriya ab bari hony lagi hy.

Aye Maa’on Behnon Betiyon, Dunya ki zeenat tum se hai…

Aye Maa’on Behnon Betiyon, Dunya ki zeenat tum se hai,
Mulkon ki basti ho tumhi, Qomon ki izat tum se hai,
Tum ghar ki shehzaadiyan, Shehron ki ho abaadiyan,
Ghamgeen dilon ki shadiyan, Dukh sukh mein raahat tum se hai,
Tum ho to ooncha hai watan, Tum bin hai veerana chaman,
Ho des ya pardes, jeeney ki haalat tum se hai,
Naiki ki tum tasveer ho, Ifat ki tum tadbeer ho,
Ho deen ki tum paasban, Imaan salamat tum se hai,
Fitrat tumhari hai hayaa, Tabiyat mein hai mehr-o-wafaa,
Ghanni hai sabr-o-razaa, Insaan ibaarat tum se hai,
Munass ho khandaanon ki tum, Gham-khuwaar farzandon ki tum,
Tum bin ghar veeraan sab, Ghar bhar mein barkat tum se hai,
Tum aas ho bemaar ki, Dhaaras ho tum bekaar ki,
Daulat ho tum nadaar ki, Asrat mein ishrat tum se hai…

Kahin kho do gi dil mera..

Abhi kamsin ho rehny do, kahin kho do gi dil mera,
tumhary hi liye rakha hai, le jana jawaan ho ker ..!
Na kamsin hun na nadan hun mohabat ko samjhti hun,
Tumhara kya bharosa hai, mukar jao jawan ho kr…

Main choti si ik bachi thi, Teri ungli tham kai chalti thi

Main choti si ik bachi thi
teri ungli tham kai chalti thi
tu door nazar se hoti thi
main aansoo ansoo roti thi
khabon ka ik roshan basta
tu roz mujhe pehnati thi
Jab darti thi main ratun ko
tu apne sath sulati thi
Maan tu ne kitne barson tak
is phool ko seincha hathon se
Jeevan kai gehre bheydon ko
main samjhi teri batoon se
Mein teree yaad kai takiye per
ab bhi rat ko sotee hoon
Maan me choti see ik bachi
teri yad mein ab bhi roti hoon

Gham ka daur kabhi na aaye, bas yunhe tu hansti jaye

Gham ka daur kabhi na aaye, bas yunhe tu hansti jaye
Tere chand se chehre ko dekh chandni bhi sharmaye
Gushan gulahan dhundh raha hun, sehra sehra daud raha hun
Koi dilkash manzar lekin tere jaisa nazar na aye
Tu hai malika phulon ki aur kaliyon ki tu shahzadi
Sab ne tujhko yad kiya aur sab ne tere gun gaye


No comments: