Khushiyaan Shayari

Khushiyaan Shayari

Khushiyaan poetry is poetry on happiness. One may also call it Khushi Poetry or Happiness Poetry. This kind of poetry is about how a person can live happily and how can he make others happy around him

Pas-e-parda woh saansain bechtey hain..

Pas-e-parda woh saansain bechtey hain,
Bazaahir jo ghubaarey bechtey hain..

Bachpan se aaj tak mein yeh seekhta raha hoon..

Bachpan se aaj tak mein yeh seekhta raha hoon,
Kaliyon se khil’khilaana, phoolon se muskuraana..

Khuda naseeb kare un ko khushiyan saari..

Khuda naseeb kare un ko khushiyan saari,
Adam woh log jo hum ko udaas rakhte hain..

Zid na kar aye mere dil kaun tujhe poochey ga..

Zid na kar aye mere dil kaun tujhe poochey ga,
Is ke koochey mein to mailaa sa bharaa lagta hai..

Aalmi hai zubaan muskurahat ki..

Aalmi* hai zubaan muskurahat ki,
Yeh zubaan seekho, bohat kam ayegi..
(aalmi;universal)

Dil jahan le jaye, dil ke sath jana chahiye..

Dil jahan le jaye, dil ke sath jana chahiye,
Is se barrh kar aur koi rahnumaa nahi hota..

Toot jayen na kahin pyaar ke nazuk rishte

Toot jayen na kahin pyaar ke nazuk rishte,
Waqt zaalim hai har ik morr pe takraaye ga..

Muskurahat, Tabasum, Hansi, Qehqahay..

Muskurahat, Tabasum, Hansi, Qehqahay,
sab ke sab kho gaye, hum baray ho gaye..

Yeh mohabbat bhi Aik naiki hai

Yeh mohabbat bhi Aik naiki hai,
Aao daryaa main daal aatay hain..!!

Chand Masoom Se Patton Ka Lahuu Hai..

Chand Masoom Se Patton Ka Lahuu Hai Mohsin,
Jis ko Mehboob ke Hatho’n Ki Hina Kehtay Hain ..!

Khushion ka waqt bhi kabhi aa hi jaye ga

Khushion ka waqt bhi kabhi aa hi jaye ga,
Gham bhi to mil rahay hain tamanna kye baghair…

Teri Palkon Mein Rehna Hai

Teri Palkon Mein Rehna Hy Raat Bhar K Liye,
Main To Ek Khwab Hun, Subha Hote Hi Chala Jaon Ga..!

ALLAH ray jism yaar ki khoobi kah hood bahood

ALLAH ray jism yaar ki khoobi kah hood bahood
apni hooshi na aaya apni hooshi chalay

Wo mera naam hatheli pe likh k khosh hai bahot

Wo mera naam hatheli pe likh k khosh hai bahot,
K ye charagh mukhalif hawa nahin rakhata.

Wo kahen bhi gea lota to mere pass aea

Wo kahen bhi gea lota to mere pass aea,
Bass yahi baat hai achi mere harjai ki.


No comments: