Love Shayari

Love Shayari

Love Shayari is probably the most loved topic by urdu readers. Love Shayari or Urdu Love Poetry are loved by urdu readers. Love Shayari is easy to write and very joyfull to read, so urdu readers love to read Love Shayari. Have a look at our Love Shayari collection, we know that you’ll love our Love Shayari collection.

Bohat hi saada hai tu aur zamaana ayaar..

Bohat hi saada hai tu aur zamaana ayaar*,
Khuda kare tujhe sheher ki hawaa na lage..
(ayaar:clever, chalaak)

Woh mujh per ajeeb assar rakhta hai..

Woh mujh per ajeeb assar rakhta hai,
Mere dil ki tamaam khabar rakhta hai,
Shayed main usey bhool hi jata magar,
Yaad aane ke woh saare hunar rakhta hai..

Phir na himmat huyi sawaalon ki..

Phir na himmat huyi sawaalon ki,
Itna mukhtssir jawaab milaa..


Hona to wohi hai jo kismat mein likha hai..

Hona to wohi hai jo kismat mein likha hai,
Lekin woh mere khawb, mere khawb, mere khawb..


Haath Main Haath Un Ka Yun Aaya..

Haath Main Haath Un Ka Yun Aaya,
Zindagi Mere Haath Lag Gai Ho Jaise…


Is Dil Ne Teray Baad Muhabbat Bhi Nahi’n Ki. .

Is dil ne teray baad muhabbat bhi nahi’n ki
Had ye k dharakney ki jasaarat bhi nahi’n ki
Tabeer ka aizaz hua hai usey haasil
Jis ne mery khuwabo’n mein sharakat bhi nahi’n ki
Ulfat tou barri baat hai hum se to sir-e-sheher
Logo’n ne kabhi dhang se nafrat bhi nahi’n ki
Aadab-e-safar ab wo sikhatay hain jinho’n ne
Do chaar qadam tay ye musaafat bhi nahi’n ki
Kia apni safai mein bayaa’n daity k hum ne
Nakarda gunaho’n ki wazahat bhi nahi’n ki
Khamosh tamashaai k manind sir-e-bazm
So zakhm sahay dil pe, shikayat bhi nahi’n ki
Us ghar k sabhi log mujhy chorrney aaye
Dehleez talak us ne ye zehmat bhi nahi’n ki
Us ne bhi ghulam’on ki safo’n mein humain rakha
Is dil pe kabhi jis ne hakoomat bhi nahi’n ki. . !

Bacha kar sajda say tum na jo paon kheech liye

Bacha kar sajda say tum na jo paon kheech liye,
Isi nishaan par rakh diye jabeen na kahi..



Dil se teri nigaah jigar tak utar gayi..

Dil se teri nigaah jigar tak utar gayi,
Dono ko aik nazar mein razamand kar gayi..


Do gharri pyar ki karain batain..

Do gharri pyar ki karain batain,
Dil jalaaney ko umar saari hai..


Khulte Hain Mujh Pe Raaz Kaai Is Jahan Ke

Khulte Hain Mujh Pe Raaz Kaai Is Jahan Ke,
Us Ki Haseen Aankhon Main Jab Jhankta Hoon..


Bohat mushkil se manayaa hai usey..

Khuda kare ke saari umar humain manzil na miley,
Bohat mushkil se manayaa hai usey saath chalne ko..



Soorat teri dikhaa ke kahoon ga mein..

Soorat teri dikhaa ke kahoon ga mein hashar ke roz,
Aankhon ka kuch gunnah na dil ka kasoor tha..


Hum khud se bicharr jayen alag baat hai..

Hum khud se bicharr jayen alag baat hai lekin,
Kab raas humain us ki rafaaqat naheen aayi..


Woh khush-kalaam hai aesa ke us ke pass..

Woh khush-kalaam* hai aesa ke us ke pass humain,
Taveel rehna bhi lagta hai mukhtasir rehna..
(khush-kalaam;well mannered, one who talks nicely)

Usko dekhte rehne ke shauq mein

Mar kar bhi usko dekhte rehne ke shauq mein,
Aankhein kisi ko apni, amanat mein de gaye..



No comments: