Four Lines Poetry

Four Lines Poetry

Four Lines Poetry is poetry in four lines. Four Lines Shayari is a kind of urdu poetry in only four lines. Lots of Four Lines Poetry is added each day.

Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai..

Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai,
Tu sitam kar le teri taaqat jahan tak hai,
Wafaa ki umeed kissi aur ko ho gi,
Humen to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai..

Sab kuch hai paas lekin kuch bhi nahi raha..

Sab kuch hai paas lekin kuch bhi nahi raha,
Uss ki hi justujuu thi wohi nahin raha,
Kehta tha ik pall na rahoon ga tere baghair.
Hum dono reh gaye, woh vaada nahin raha..

Pyaas aisi ke bujhaatey huye thak jaata hoon..

Barff aisi ke pighalti nahin paani ban kar,
Pyaas aisi ke bujhaatey huye thak jaata hoon,
Achi lagti nahin iss darjaa shanasaayi* bhi,
Haath haathon se milaatey huye thak jaata hoon..
(shanasaayi:knowing someone, meeting, milna milaana)

Ishq qaatil se aur maqtool se hamdardi bhi..

Ishq qaatil se aur maqtool se hamdardi bhi,
Yeh bata kis se mohabbat ki jazaa maange ga,
Sajda khaaliq ko bhi aur iblees se yarana bhi,
Hashar main kis se aqeedat ka silaa maange ga..

Woh manzar na woh chehre nazar aatey hain..

Ab na woh manzar na woh chehre nazar aatey hain,
Mujh ko maloom na tha khawb bhi mar jaatey hain,
Jaane kis haal main hum ke humen dekh kar sab,
Aik pall ke liye rukte hain, guzar jaatey hain..

Hassti ko mohabbat main fanaa kon karega..

Hassti ko mohabbat main fanaa kon karega,
Yeh farzz zamane main adaa kon karega,
Haathon ko lakeeron ko zara dekh najoomi,
Yeh bata mujh ko mere sath wafaa kon karega..

Kal raat chaand ko dekha to yeh ehsas hua..

Kal raat chaand ko dekha to yeh ehsas hua,
Tum akele ho tumhe meri zaroorat hogi,
Aye khuda us ko kisi aur ka na hone dena,
Warna umar bhar mujhe tujh se shikyet hogi..

Tumhare sath mere silsle na milte they..

Tumhare sath mere silsle na milte they,
Safar tha aik magar raste na milte they,
Tujhe ganwa ke meri jaan muje yakeen aya,
Ke log mujhse mere vastey na milte they..

Roothna uss se aur auron se ulajhte rehna….

Aag se seekh liya hum ne yeh qareena bhi,
Bujh bhi jana per barri dair tak sulagte rehna,
Jaane kis umar main jaaye gi yeh aadat apni,
Roothna uss se aur auron se ulajhte rehna..

Halaat ke likhe ko mittaa kyun nahin dete..

Halaat ke likhe ko mittaa kyun nahin dete,
Yeh bojh hai seeney per hattaa nahin dete,
Kyun hum se guraizaan ho batate nahin ho,
Iss raaz se ab pardaa utha kyun nahin dete..

Mere humsafar ka yeh hukam tha..

Mere humsafar ka yeh hukam tha,
Ke kalaam us se main kamm karoon,
Mere hont aese sille ke phir,
Meri chup ne us ko rulaa diya..

Kyun yeh azeez hai yeh dhuaan dhuaan sa mausam..

Mujhe kyun yeh azeez* hai yeh dhuaan dhuaan sa mausam,
Yeh hawaa-e-shaam hijraan mujhe raas hai to kyun hai,
Main ujarr ke bhi hoon tera, tu bicharr ke bhi hai mera,
Yeh yakeen hai to kyun hai, yeh qayaas* hai tu kyun hai..
(azeez:like,pasand)(qayaas:guess, andaaza)

Karte nahin kuch, to kaam karna kya aye..

Karte nahin kuch, to kaam karna kya aye,
Jeete jee jaan se guzarnaa kya aaye,
Ro ro ke maut maangne walon ko,
Jeena nahi aya to marna kya aaye..

Hum ne har saans mohabbat pe fidaa ki hai..

Hum ne har saans mohabbat pe fidaa ki hai,
Har duaa main teri chahat ki iltijaa ki hai,
Tum kya karo ge mohabbat ki intihaa,
Hum ne to ibtidaa hi intihaa se ki hai..

Jo dil main hai ankhon ke hawaale nahin karna..

Jo dil main hai ankhon ke hawaale nahin karna,
Khud ko kabhi khawbon ke hawaale nahin karna,
Iss umar main khush’fehmiyan achi nahin hotin,
Iss umar ko vaaadon ke hawaale nahin karna..

No comments: