Nasha Shayari

Nasha Shayari

Nasha Shayari is usually about being drunk. This Nasha Poetry educates us not to get drunk when we have got responsibilities. Nasha Shayari is a nice educational form of urdu poetry.


Kuch aur bhi hain humain kaam..

Kuch aur bhi hain humain kaam, aye gham-e-janaan,
Kab tak koi uljhi huyi zulfon ko sanwaarey..

Ik larki, Pagli si, Diwani si, Masoom si, Anjaani si..

Ik larki,
Pagli si, Diwani si,
Masoom si, Anjaani si,
Apne ghar ki mundair per bethi,
In galiyon aur chobaaron ko,
In koochon aur bazaaron ko,
Dekhti hai..
Jahan us ne apna bachpan guzara tha,
Us ki aankhon mein tha,
Intizaar..
Kisi ka!
Magar usey kaun samjhaye,
Ke bachpan ke vaadey to,
Kacchi dor ki tarah hote hain,
aur,
Bhala jane waley,
Kab laut kar atey hain..

apni hi teg-ye ada sy app ghayal ho gia

apni hi teg-ye ada sy app ghayal ho gia
Chanad ny pani may dekha or pagal ho gia

Gham e dunia me gham e yaar bhi shamil kar lo

Gham e dunia me gham e yaar bhi shamil kar lo,
Nasha bharta hai sharabeen jo sharabon me ilen.

Hamari be-khudi ka haal woh pochein agar

Hamari be-khudi ka haal woh pochein agar,
To kehna hosh bas itna hai tum ko yad karte hain…

Unhe dekhke phir hosh kho gaye

Hosh e haalat pe kaboo to kar liya maine,
unhe dekhke phir hosh kho gaye to kya hoga.

Kab mehkti he bhala raat ki

Kab mehkti he bhala raat ki RAANI din men.,
Shehr soya to teri yaad ki khushboo jagi…!!

Kon hosh mein rehta hai

Tere husan ko perdey ki zarurat hi kia hai
kon hosh main rehta hai tujhey dekhney k baad….

Tapakti hai nigahon se

Tapakti hai nigaaho’n se, Barasti hai adaaoon se,
Mohabbat kon kahta hai pahchaani nahi jaati……

Ek ajab sa nasha

ek ajab sa nasha hai teri yado\’n mein,
main tera ziqr likhu’n to alfaz raqsh karte hain.

No comments: