Munir Niazi Poetry

Munir Niazi Poetry

Munir Niazi was born in Khanpur to the Niazi tribe. “Taiz Hawa Aur Tanha Phool” was his most popular book although “Jungle mein Dhanak”, “Dushmanoon Kai Darmiyan Sham” and “Mah-e-Munir” also did quite well all over the world.


Bechain bohat phirna ghabraye huye rehna..

Bechain bohat phirna ghabraye huye rehna,
Ik aag si jazbon ki dehkaaye huye rehna,
Chalkaaye huye Khushbuu lab-e-laleen ki,
Ik baagh sa sath apne mehkaaye huye rehna,
Ik shaam si kar rakhna kaajal ke karishme se,
Ik chaand sa aankhon main chamkaaye huye rehna,
Aadat hi bana li hai tum ne to Munir apni,
Jiss sheher main bhi rehna uktaaye huye rehna..

Janta hoon aik aese shakhs ko mein bhi..

Janta hoon aik aese shakhs ko mein bhi Munir,
Gham se pathar ho geya lekin kabhi roya nahin..

Kitaab-e-zeest ka ek aur baab hatam hua..

Kitaab-e-zeest ka ek aur baab hatam hua,
Shabaab hatam hua, azaab hatam hua..

Dekhtey hi dekhtey hum kya se kya..

Mehfil ar’aa they magar phir kam’numaa ho geya they,
Dekhtey hi dekhtey hum kya se kya ho gaye they..

Hum’zubaan mere they in ke dil magar achey na they..

Hum’zubaan mere they in ke dil magar achey na they,
Manzilain achi thee’n mere hum’safar achey na they,
Jo khabar pohanchi yahan tak asal surat mein na thi,
Thi khabar achi magar ehl-e-khabar achey na they,
Bastiyon ki zindagi mein be’zari ka zulm tha,
Log achey they wahan ke ehl’e’zar achey na they,
Hum ko khubaa’n main nazar ati theen kitni khoobiyan,
Jis qadar achey lage they is qadar achey na they,
Is liye aayi nahin ghar mein mohabbat ki hawaa,
Is mohababt ki hawaa ke muntazir achey na they,
Ik khayal-e-haam hi murshad tha in ka aye Munir,
Yaani apne sheher mein ehl-e-nazar achey na they..

Tujhse bicharr kar kya hoon main..

Tujhse bicharr kar kya hoon main, ab bahar akar dekh,
Himmat hai to meri haalat, aankh mila kar dekh,
Shaam hai gehri, tez hawaa hai, sar pe khari hai raat,
Rasta gaye musafir ka ab diya jalaa kar dekh,
Darwaze ka paas aa aa kar wapis murrti chaap,
Kaun hai iss sunsaan gali main, paas bula kar dekh,
Shayed koi dekhne wala ho jaye khairaan,
Kamre ki deewaron par koi naqsh bana kar dekh,
Tu bhi Munir ab bhare jahaan main mil kar rehna seekh,
Bahar se to dekh liya, ab andar jaa kar dekh..

Meri saari zindagi ko be’samar iss ne kiya

Meri saari zindagi ko be’samar iss ne kiya
Umar meri thi magar,isko basar iss ne kiya
Main bohut kamzor tha iss mulq main hijrat kay baad
Per mujhe iss mulq mein kamzor’tar iss ne kiya
Rehbar mera bana gumraah karne kay liye
Mujhko seedhey raste se darbadar iss ne kiya
Shehar mein woh moatbir meri gawahi se huwa
Phir mujhe iss shehar main na’moatbir iss ne kiya
Shehar ko barbaad kar kay rakh diya iss ne ‘Munir’
Shehar per yeh zulm mere naam per iss ne kiya

Saaya-e-Qasr-e-Yaar Mein Baitha

Saaya-e-Qasr-e-Yaar Mein Baitha
Mein Tha Apnay Khumaar Mein Baitha
Os Ka Aana Tha Khwaab Mein Aana
Mein Abs-e-Intezaar Mein Baitha
Koi Soorat Nahi Hai Os Jaisi
Osko Dekho Hazaar Mein Baitha
Osko Khushion Se Khauf Aata Hai
Weham Kia Zehen-e-Yaar Mein Baitha
Hum Bhee Raston Mein Phir Rahay Thay Muneer
Wo Bhee Tha Raahguzar Mein Baitha

Hum Kisi Ko Apne Kiye Ka Hisaab Kya Dete ?

Hum Kisi Ko Apne Kiye Ka Hisaab Kya Dete ?
Sawaal Saaray Ghalat Thy Jawab Kya Dete ?
Kharab Sadyon Ki Be-Khwabiyan Theen Aankhon Main
Ab In Be-Aant Khala’on Main Khwaab Kya Dete ?
Hawa Ki Tarha Musafir Thy Dilbaron Ke Dil
Unhain Bus Aik Hee Ghar Ka Azaab Kya Dete ?
Sharaab Dil Ki Talab Thi Sharaab Ke Pehray Main
Hum Itni Tangi Main Us Ko Sharaab Kya Dete ?
Munir Dasht Shuroo Se Saraab Aesa Tha
Usss Aainay Ko Tamanna Ki Aab Kya Dete ?

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha

Dil Jal Raha Tha Gham Se Magar Nagmagar Raha
Jab Tak Raha Main, Saath Mere Yeh Hunar Raha
Subah-E-Safar Ki Raat Thi, Taare The, Aur Hawa
Saaye Sa Ek, Der Talak, Baam Par Raha
Meri Sada Hawa Mein Bohat Door Tak Gayi
Par Main Bula Raha Tha Jise, Bekhabar Raha
Guzari Hai Kya Maze Se Khayaalon Mein Zindagi
Doori Ka Yeh Tilism Bada Kaargar Raha
Khauf Aasmaan Ke Saath Tha Sar Par Jhuka Hua
Koi Hai Bhi Ya Nahin Hai,Yehi Dil Mein Dar Raha
Is Aakhiri Nazar Mein Ajab Dard Tha ‘Munir’
Jaanay Ka Uske Ranj Mujhe Umr Bhar Raha

Hamesha der kar deta hoon mein

hamesha der kar deta hun main
zaruri bat kahni ho
koi wada nibhana ho
use awaz deni ho
use wapas bulana ho
hamesha der kar deta hun main
madad karni ho uski
yar ki dharas bandhana ho
bahut derina raston par
kisi se milne jana ho
hamesha der kar deta hun main
badalte mausamon ki sair main
dil ko lagana ho
kisi ko yad rakhna ho
kisi ko bhul jana ho
hamesha der kar deta hun main
kisi ko maut se pahle
kisi gam se bachna ho
haqiqat aur thi kuch
us ko ja k ye batana ho

No comments: