New Year Shayari

New Year Shayari

New Year Poetry is poetry on how one feels about getting in to a new year and how one has spent the last year. New Year Poetry and Shayari is about what a person has gone through in the last year. A Year is full of good and bad times, mishaps, achievements and losses. This is what New Year Poetry is about.


Neya saal aya hai, dabbe paaon aya hai..

Neya saal aya hai,
Veeran sub’hon ki veeran te’hon se ubharta,
Dasht ki thattharti khamoshi main,
Barfeeli seetti bajaata,
Dabey paaon,
Neya saal aya hai,
Barff alood shaamon ki khamoshi,
Uss ke qadmon ki aahatt samette,
Guzar’gaahon per,
Saayebaanon per,
Galiyon ke koney,
Shaam ka manzar ubhar raha hai,
Thehre huye samandar ke paani per,
Parindey,
apne gham’naak pairron ki shaakhon ki janib,
Urre jaa rahe hain,
Makee’n apne aangan main,
Gharon ki cha’ton par,
Dharrakte dilon main,
Hazaaron umeedon ki shamain jalaaye,
Dabey paaon aatey huye saal ko dekhte hain….

Jeevan ka aik aur sunehraa saal geya..

Kuch aansu, kuch khushiyan de ker ttaal geya,
Jeevan ka aik aur sunehraa saal geya,
Kon jaaney ke kal ka samaa kesa ho ga,
Ab tak to kal sa hi hai sab haal geya..

Aaye guzrey baras Bata tjhy bhoolun kesy

Aaye guzrey baras Bata tjhy bhoolun kesy…?
Tery Lamhon ne mry Brso’n ki rfaqat cheeni

Koi har gya koi jeet gya, ye saal b akhir beet gya..!

Koi har gya koi jeet gya,
ye saal b akhir beet gya..!
Kabi sapny sjaye ankho me
kabi beet gae pal baton main,
kuch talkh sy lamhaat bhi they,
kuch haadsey aur sadmat bhi they,
kuch berukhi kuch becheni,
kuch mun main simti weeraani.
Kuch lamhe thy yadgaar bht,
kuch lamhon ko brbaad kia..
Per ab k baras,
RUB se dua ha ye ,
koi pal na apka udas guzry,
koi rog na apko raas guzry,
ap pholon ki trha khila kreyn,
koi shakhs na ap se gila kry,
ap khush rho abad rho,
apka khwab ngar abad rhy,
ap jo chahy wo ho jay,
ap jo mango wo mil jay,
apki maf wo hr ik khata kry,
apko asey hi Rab ata kry.
AMEEN.

No comments: