Jon Elia Poetry

Jon Elia Poetry

Find the best poetry of Jon EliaJon Elia or Jaun Elia was a famous male poet from Pakistan. Sadly he was not able to write too many poetry books. We bring you the best poetry of Jon Elia in urdu language. His poetry books were Shayad, Ya’ani, Gumaan, Lekin, Goya and Famood.


Sochta hoon kabhi kabhi yoon hi..

Sochta hoon kabhi kabhi yoon hi,
Aakhir harjj kya tha usey manaane mein..

Tum mera naam kyun nahin leti….

Sharam, dehshat, jijhakk, pareshaani,
Naaz se kaam kyun nahin leti,
Aap, woh, ji magar, yeh sab kya hai,
Tum mera naam kyun nahin leti..

Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to..

Kisi se koi khafaa bhi nahin raha ab to,
Gilaa karo ke gilaa bhi nahin raha ab to,
Chunnay huye hain labon per tere hazar jawab,
Shikaayeton ka maza bhi nahin raha ab to,
Yakeen kar ke jo teri aarzu mein tha pehle,
Woh lutf tere siwaa bhi nahin raha ab to,
Woh sukh ke khuda ki hain bakhshishen kya kya,
Yahan yeh likh ke khudaa bhi nahin raha ab to..

Aap apna ghubaar they hum to..

Aap apna ghubaar they hum to,
Yaad they yaadgar they hum to,
Hum ko yaaron ne bhi yaad na rakha,
Jon yaaron ke yaar they hum to..

Yoon jo takta hai asmaan ko tu..

Yoon jo takta hai asmaan ko tu,
Koi rehta hai aasman main kya,
Yeh mujhe chain kyun nahin parrta,
Aik hi shakhss tha jahan main kya..

Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon..

Haan theek hai main apni ana’aa ka mareez hoon,
Aakhir mere mizaaj mein kyun dakhhal de koi..

Har shakhss meri zaat se janey ke liye tha..

Har shakhss meri zaat se janey ke liye tha,
Tu bhi meri zaat se janey ke liye hai..

Tum jab ao gi, to khoya hua pao gi mujhe..

Tum jab ao gi, to khoya hua pao gi mujhe,
Meri tanhai mein, khawbon ke siwa kuch bi nahin,
Mere kamrey ko sajaaney ki tamanna hai tumhe,
Mere kamrey mein kitaabon ke siwa kuch bi nahin..

Kaisa dil aur uske kya gham jee..

Kaisa dil aur uske kya gham jee,
Yu’n hee baatain banaatey hain, hum jee,
Kya bhalaa aasteen aur daaman,
Kab se palkein bhi ab nahi nam jee,
Ussey ab koi baat kya kerna,
Khud se bhi baat kije kam-kam jee,
Dil jo dil kya tha, ek mehfil tha,
Ab hai darham jee aur barham jee,
Baat be-tour ho gayi shayad,
Zakhm bhi ab nahi hai, marham jee,
Haar duniya se maan le shayad,
Dil, hamaare mein ab nahi, dam jee,
Hai yeh hasrat ke zibah ho jaun,
Hai shikan is shikam ki zaalam jee,
Kaise aakhir na rang khele’n hum,
Dil lahoo ho raha hai, jaanam jee,
Hai kharaaba yeh husniya apna,
Roz majlis hai aur maatam jee,
Waqt dam bhar ka khel hai usme,
Besh az besh hai, kam az kam jee,
Hai azal se abad talak ka hisaab,
Aur bus ek pal hai peham jee,
Be-shikan ho gayi hai woh zulfein,
Is gali mein nahi rahe kham jee,
Dasht-e-dil ka ghazaal hee na raha,
Ab bhalaa kis se kijiye ram jee…

Kaafi hai ke hum dushman nahin hain..

Yeh kaafi hai ke hum dushman nahin hain,
Wafaadari ka daava* kyon karain hum..
(daava;claim)

Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din

Mujh Ko Begaana Kar Gaye Mere Din
Mujh Se Ho Kar Guzar Gaye Mere Din
Ab Na Koi Din Mere Ghar Jaye Ga
Jaanay Kis Ke Ghar Gaye Mere Din
Ab Nahi Hain Mere Koi Din Raat
Ke Mujh Hee Ko Basar Gaye Mere Din
Saari Raatain Gayin Meri Be-Haal
Mere Din ! Be-Asar Gaye Mere Din
Khosha Ab Intezaar Hai Na Umeed
Yaar Yaaran ! Sudhar Gaye Ab Din
Ab Mein Bas Reh Gaya Hun Raaton Mein
Mar Gaye “Jhon” ! Mar Gaye Mere Din

1 comment: