Bewafa Shayari

Bewafa Shayari

People dedicate Bewafa Shayari to the people who have ditched them and have cheated on them. Bewafa Shayari is one of the most read topic in Urdu poetry. Everyone knows that love hurts, but it hurts a hell more if someone cheats on you. Bewafa shayari covers all these topics.


Aap chairrain na wafaa ka qissa..

Aap chairrain na wafaa ka qissa,
Baat main baat nikal aati hai..

Band mutthi se girti huyi rait ki tarah..

Band mutthi se girti huyi rait ki tarah,
Bhulaa diya tum ne to zara zara kar ke..

Haadsa yeh bhi qayamat se koi kamm to nahin..

Haadsa yeh bhi qayamat se koi kamm to nahin,
Tu ne jo ranjj diye bhoolte jaate hain humain..

Aap hi apni jafaaon pe zara ghaur karen..

Aap hi apni jafaaon pe zara ghaur karen,
Hum agar arzz karen ge to shikayet hogi..

Phir tu ne chairr di hai gaye dinon ki baat..

Phir tu ne chairr di hai gaye dinon ki baat,
Woh guftguu na kar ke tujhe bhi malaal ho..

Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai..

Mat pooch sabar ki intihaa kahan tak hai,
Tu sitam kar le teri taaqat jahan tak hai,
Wafaa ki umeed kissi aur ko ho gi,
Humen to dekhna hai tu bewafa kahan tak hai..

Woh mujh ko bhool betha hai nahi hairat huyi..

Woh mujh ko bhool betha hai nahi hairat huyi sun kar,
Woh aksar aaam si cheezen rakh kar bhool jata tha..

Woh ik baat bohat talkhh kahi thi us ne..

Woh ik baat bohat talkhh* kahi thi us ne,
Baat to yaad nahi yaad hai lehjaa us ka..
(talkhh:harsh)

Main to iss vaaste chup hoon ke tamasha na bane..

Main to iss vaaste chup hoon ke tamasha na bane,
Tu samajhta hai mujhe tujh se gila kuch bhi nahi..

Tamaam sheher ne dekha mera anjaam magar..

Tamaam sheher ne dekha mera anjaam magar,
Hua jiss se aghaaz woh anjaan thehraa..

Apne lehje pe ghaur kar ke bata..

Apne lehje pe ghaur kar ke bata,
Lafzz kitne hain, teer kitne hain..

Ab dekhiye to kis ki jaan jaati hai..

Ab dekhiye to kis ki jaan jaati hai,
Maine us ki, us ne meri qasam khayi hai..

Na shifaa mile na dawaa mile..

Na shifaa mile na dawaa mile jo dil mein dard utha kare,
Tu jo maut ki kare aarzuu, teri umar aur daraaz ho..

Bohat hi majbooriyan hain waqt ki..

Woh kehta hai bohat hi majbooriyan hain waqt ki,
Saaf lafzon main khud ko bewafa nahin kehtaa..

Aaye to yoon ke jaise hamesha they meherbaan..

Aaye to yoon ke jaise hamesha they meherbaan,
Bhoole to yoon ke goya kabhi aashnaa na they..

No comments: