December Shayari

December Shayari

December Poetry holds a special place in the hearts of literature lovers. The month of December is known to be cold and lonely month. December Poetry and December Shayari is all about Mausam (Weather) and loneliness.

December tu kyun aaya hai..

December tu kyun aya hai,
Teri hi aik bheegi shab main,
Mujhse bicharrne waley ne,
Mujh se ehad kiya tha yeh,
December jab bhi aaya to,
Main bhi loat aaon ga,
Quhar main liptte huye din,
Aur bheegi huyi raatein,
Wassl ki khushbuu se,
Mehki rim jhim rim jhim barsaatein,
Main tere sangg bitaaon ga,
Koyelon ki aag jalaa kar,
Beth kar lihaafon main,
Hijar ke beetey lamhon ke,
Qisse tumhe sunaaon ga,
Ab tere tanhaa aane se,
Iss ke jhoote waade ne,
Mujh ko barra rulaya hai,
Jab woh nahin aaya to,
December, Tu kyun aaya hai..

Aakhri chand din december ke..

Aakhri chand din december ke,
Har saal hi giraa’n guzarte hain,
Kese kese gumaan’n guzarte hain,
Raftaang ke guzarte saayon ki,
Aik mehfil si dil main sajti hai,
Phone ki diary ke saf’hon se,
Har barss ki tarah,
Diary ab bhi sawaal karti hai,
Kya khabar is barss ke aakhir tak,
Mere in be’chiraag saf’hon se,
Kitne hi naam katt gaye hon ge,
Apne apne gharon mein rakhi hui,
Diary dost dekhte hon ge,
Unki aankhon ke khaak’daanon main,
Ik sehraa sa phailta ho ga,
Aur kuch be’nishaan saf’hon se,
Naam mera bhi katt geya ho ga..

Yaad dilata hai december..

Yaad dilata hai december,
Kisi ke lehje ka sard ho jana..

December kis liye aakhir hamesha khaas lagta hai..

Woh darjan bhar mahinon se,
Zara mumtaaz lagta hai,
December kis liye aakhir
hamesha khaas lagta hai,
Bohat sehmi hui subhein,
Udaasi se bhari shaamein,
Dopehrein royi royi si,
Woh raatein khoyi khoyi si,
Garam dabeez shaalon ka,
Woh kam roshan ujaalon ka,
Kabhi guzre hawalon ka,
Kabhi mushkil sawalon ka,
Bicharr jaane ki mayoosi,
Milan ki aas lagta hai,
December kis liye aakhir
hamesha khaas lagta hai..

Mujhe ab fark nahin parta december beet jaane ka..

Mujhe ab fark nahin parta december beet jaane ka,
Udaasi meri fitrat hai isey mausam se kya lena..


Tumhare baad guzrein ge kese hamare din..

Tumhare baad guzrein ge bhala kese hamare din,
November se bachen ge to december maar daale ga..

Andaaz acha hai december tere aaney ka..

Halki halki si ssard hawaa, zara sa dard-e-dil,
Andaaz acha hai december tere aaney ka..

Chupke se december ne yeh sargoshi ki..

Raat chupke se december ne yeh sargoshi ki,
Phir se ik bar rulaa doon tujhe jatey jatey..

Mujhe ab farq nahin parta..

Mujhe ab farq nahin parta, december ke beet janey ka,
Udaasi meri fitrat hai, isey mausam se kya matlab..

Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam..

Tumhari yaad or baraf-bari ka mausam,
sulagta raha dil ke andar akeley,
Irada tha jee loon ga tujh se bichar ke,
Magar guzarta nahi ab December akeley..

Hijar ke maaron pe qayamat hai december..

Thithharti huyi shab-e-seyah, aur woh bhi taweel-tar,
Mohsin, yeh hijar ke maaron pe qayamat hai december..

December ageya jaana..

December ageya jaana,
Ke phir ek saal,
Teri yaad ke samandar mein,
Utar kar jane wala hai,
Yeh dil phir roney wala hai,
Tumhe kuch yaad hai jaana,
Isi pichle december mein,
Tumhi ne mujh ko likha tha,
Ke neya jo saal aye ga,
Us mein mil ke rehna hai,
Bohat se pyar ke vaadey,
Bohat si ankahi baten,
Humain tehreer karni hain,
Mohabbat ki neyi nazmein,
Humein is baar likhni hain,
Magar janaa,
Wohi raten,
Wohi shaamen,
Wohi khushbu,
Wohi nazmen,
Mujhe har waqt kehti hain,
December loat aya hai,
Magar, tera sathi nahin aya,
December ageya jaana..
December ageya jaana….

Yaad dilaata hai sardd mausam..

Yaad dilaata hai sardd mausam,
Kisi ke lehjeyy ka sardd hona..

Kabhi jo toot ke barsa December..

Kabhi jo toot ke barsa December,
Laga apna, Bohat apna December,
Guzar jata hai sara saal yun to,
Nahin kat’ta magar tanha december,
Bhala barish say kia sairaab hoga,
Tumharay wasl ka piyasa december,
Woh kab bichra? Nahi ab yaad lekin,
Bus itna yaad hai ke tha December,
Jama poonji yehi hai umar bhar ki..
Meri tanhai aur Mera December!

Kiyu har baat pe koste hain log december ko..

Kiyu har baat pe koste hain log december ko ??
Kiya december ne kaha tha mohabbat karo !!


No comments: