Intezaar Shayari

Intezaar Shayari

Intezaar Shayari is poetry on waiting for someone. Intezaar Shayari is often very sad and depressing poetry. Intezar Shayari is loved by urdu readers so we are committed to keeping our Intezaar Shayari database fresh. Read these Intezaar Poetry and send them to your friends.

Main phool chunti rahi aur khabar na huyi..

Main phool chunti rahi aur khabar na huyi,
Woh shakss aa ke mere sheher se chala bhi geya..

Yakeen hai ke na aaye ga mujhse milne koi..

Yakeen hai ke na aaye ga mujhse milne koi,
To phir yeh dil ko mere intezar kesa hai..

Us waqt intizaar ka aalam na poochiye..

Us waqt intizaar ka aalam na poochiye,
Jab koi baar baar kahe, aa raha hoon main..

Hazaaron manzilen hon gi hazaron karwaan hon ge..

Hazaaron manzilen hon gi hazaron karwaan hon ge,
Bahaarein hum ko dhoonde gi, na jane hum kahan hon ge..

Mehboob ne vaada kiya hai paanchve din ka..

Mere mehboob ne vaada kiya hai paanchve din ka,
Kisi se sun liya hoga duniya chaar din ki hai..

Is se pehle ke mujh ko sabbar aa jaye..

Is se pehle ke mujh ko sabbar aa jaye,
Kitna acha ho ke laut aao tum..

Aap ka vaada aap ka dedaar..

Aap ka vaada aap ka dedaar,
Hashar tak intizaar kon kare..

Gham ki andheri raat me dil ko na beqaraar kar..

Gham ki andheri raat me dil ko na beqaraar kar,
Subaah zaroor aye gi subah ka intezaar kar..

Khoon-e-dil peeney ko, lakht-e-jigar khaney ko..

Khoon-e-dil peeney ko, lakht-e-jigar khaney ko,
Yeh ghazaa milti hai lailaa tere deewaney ko..

Wafaa main ab yeh hunar iktiyaar karna hai..

Wafaa main ab yeh hunar iktiyaar karna hai,
Woh sach kahe na kahe aitbaar karna hai,
Yeh tujh ko jaagtey rehne ka shauq kab se hua,
Mujhe to kher tera intizaar karna hai..

Koi us jaisa nahi hai in dinon..

Koi us jaisa nahi hai in dinon,
Woh bhi wesa nahi hai in dinon..

Aaj tak tere khat’ton se teri khushbu na gayi..

Mitt chale meri umeedon ki tarha harf magar,
Aaj tak tere khat’ton se teri khushbu na gayi..

Intizaar mein lazzat agar na ho..

Aesi hi intizaar mein lazzat agar na ho,
To do gharri firaaq* mein apni bassar na ho..
(firaaq;separation)

Palkon pe ruk geya hai samundar..

Palkon pe ruk geya hai samundar khumaar ka,
Kitnaa ajab nashaa hai tere intizaar ka..

Aap ka aitbaar kon kare..

Aap ka aitbaar kon kare,
Roz ka intizaar kon kare..

1 comment:

Anshu Mittal said...

Very Nice Collection!!
Want to read my collection of Intzaar Shayari
पहले अपनी याद दिलवाते हो ,
फिर इंतज़ार करवाते हो
कभी लौट कर वापिस तो नहीं आते
फिर कहते हो कि आप हमे चाहते हो।