Zakhmi Shayari

Zakhmi Shayari

Zakhmi Shayari is a kind of urdu poetry containing sad and depressing poetries. Zakhmi Sher and Zakhmi Shayari is mostly loved by people who are heartbroken and are depressed.

Phool hota to teri dehleez pe sajaa bhi deta..

Phool hota to teri dehleez pe sajaa bhi deta,
Zakham le ker tere dar pe aaon kaise..

Zakhmii huye jo hont to mehsoos yeh hua..

Zakhmii huye jo hont to mehsoos yeh hua,
Chooma tha kisi phool ko deewangi ke sath..

Kaar-e-duniya bhi, neya ishq bhi, yadain bhi..

Kaar-e-duniya bhi, neya ishq bhi, yadain bhi Saleem,
Kitne zakhmon ko sajaye huye ghar jao ge tum..

Zahir me ti hamdard hi atey hain nazar log..

Zahir me to hamdard hi atey hain nazar log,
Zakhmon ko merey cherney atey hain magar log..

Mohabbat ho chuki puri..

Mohabbat ho chuki puri.
Chalo ab zakhm gintey hain..

Lab pe sajaa liye yunhi kuch ajnabi se naam..

Lab pe sajaa liye yunhi kuch ajnabi se naam,
Dil main tamaam zakham kisi ashnaa ke they..

Kya koi neyi baat nazar aayi hai hum me..

Kya koi neyi baat nazar aayi hai hum me,
Aayina humain dekh kar heraan sa kyon hai?

Jaan main woh phool khilaane aye..

Dil o jaan main woh phool khilaane aye,
Woh mere dil pe neya zakham lagane aye..

Chaara saazon se alag hai mera meyaar..

Chaara saazon se alag hai mera meyaar ke main,
Zakham khaaon ga to kuch aur sanwar jaaon ga..

Zakhmon ke bawjood mera hauslaa to dekh..

Zakhmon ke bawjood mera hauslaa to dekh,
Tu hanss diya to mein bhi tere sath hanss diya..

Wahan pohanchey na zamane ki nazar bhi

Shayed wahan pohanchey na zamane ki nazar bhi,
Jo zakham mujhe teri mohabbat ne diya hai..

Thokar se mera paaon to zakhmi hua zaroor

Thokar se mera paaon to zakhmi hua zaroor,
Raste mein jo kharra tha woh kohsaar hatt geya..
(kohsaar;obstacle)

Ghutt ke marna hai mujhe.

Tang hota ja raha hai haala-e-yaksaaniyat,
Kya inhii pheekay dino mein ghutt ke marna hai mujhe..

Tamaam umar hi guzri hai dastak’en sunte

Tamaam umar hi guzri hai dastak’en sunte,
Humain to raas na aya khud apne ghar rehna..

Maut Aayi To So Lain Ge

Jeevan Zehar Bhara Saagar!!
Kab Tak Amrit Gholaien Gay.??
Neend To Kya Aayegi “Faraz”
Maut Aayi To So Lain ge..

No comments: