Faiz Ahmad Faiz Poetry

      

Faiz Ahmad Faiz
1911-1984
Poetries : 17
Faiz Ahmad Faiz was an influential intellectual and a revolutionary poet. His poetry has been translated in to several languages including English and Russian.
Faiz Ahmed Faiz also appeared in some tv shows. He published eight books and all of them were sold in huge numbers. Faiz Ahmad Faiz also worked for British Indian Army but later submitted his resignation in 1947. He died in 1984, but still remains in the hearts of literature admirers.




Dono jahan teri mohabbat mein haar ke..

Dono jahan teri mohabbat mein haar ke,
Woh jaa raha hai koi shab-e-gham guzaar ke..

Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge..

Mitt jaye gi makhlooq to insaaf karo ge,
Munsif ho agar to hashar uthaa kyon nahin dete..

Kahan tak suney gi raat kahan tak sunayen ge..

Kahan tak suney gi raat kahan tak sunayen ge hum,
Shikwey saarey sabb aaj tere rubaruu karain..

Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main ..

Yeh ajab qayamaten hain teri rahguzar main guzaari,
Na ho ke mar mittain hum, na ho ke jee uthain hum..

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay

Sach Hai Hamee.n Ko Aap Ke Shikway Bajaa Na Thay
Be-Shak Sitam Janaab Ke Sab Dostaana Thay
Haan Jo Jafaa Bhi Aap Ne Ki, Qaaiday Se Ki
Haan Ham Hee Kaar Band-e-Asool-e-Wafa Na Thay
Aaye Tou Yun Ke Jaisay Hamesha Thay Meherbaan
Bhoolay Tou Yun Ke Goya Kabhi Aashna Na Thay
Kyun Daad-e-Gham Ham Ne Talab Ki, Buraa Kiya
Ham Se JahaaN Mein Kushta-e-Gham Aur Kya Na Thay
Gar Fikr-e-zaKhm Ki Tou Khataavaar Hain Ke Ham
Kyun Mahv-e-Madh-e-Khuubi-e-Teg-e-Adaa Na Thay
Har Chaarahgar Ko Chaarahgari Se Guraiz Tha
Warna Hamain Jo Dukh Thay, Bohat La-Dawaa Na Thay
Lab Per Hai Talkhi-e-Mey-e-Ayaam, Warna “Faiz”
Ham Talkhi-e-Kalaam Pe Maail Zaraa Na Thay

Marne ke baad bhi meri aankhain khuli rahi..

Marne ke baad bhi meri aankhain khuli rahin,
Aadat jo parr gayi thi tere intizaar ki..

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia

Raaz-e-Ulfat Chhupa Ke Dekh Lia
Dil Bohat Kuch Jalaa Ke Dekh Lia
Aur Kia Dekhnay Ko Baaki Hai ?
Aap Se Dil Lagaa Ke Dekh Lia
Wo Mere Ho Ke Bhi Mere Na Howay
Un Ko Apna Banaa Ke Dekh Lia
Aaj Unki Nazar Mein Kuch Ham Ne
Sab Ki Nazrain Bacha Ke Dekh Lia
“Faiz” Takmeel-e-Gham Bhi Na Ho Saki
Ishq Ko Aazmaa Ke Dekh Lia

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge

Ham Parwarish-e-Loh-o-Qalam Kartay Rahain Ge
Jo Dil Pe Guzarti Hai, Raqam Kartay Rahain Ge
Asbaab-e-Gham-e-Ishq Behem Kartay Rahain Ge
Veeraani-e-Dauraan Pe Qaram Kartay Rahain Ge
Haan Talkhi-e-Ayyaam Abhee Aur Barhay Gi
Haan Ahl-e-Sitam, Mashq-e-Sitam Kartay Rahain Ge
Manzoor Ye Talkhi, Ye Sitam Ham Ko Ganwaara
Dam Hai Tou Madawaa-e-Alam Kartay Rahain Ge
Mey Khaana Salaamat Hai, Tou Ham Surkhi Mey Se
Tazeen-e-Dar-o-Baam-e-Haram Kartay Rahain Ge
Baaqi Hai Lahuu Dil Mein Tou Har Ashq Se Paida
Rung-e-Lab-o-Rukhsaar-e-Sanam Kartay Rahain Ge
Ik Tarz-e-Taghaaful Hai So Wo Un Ko Mubaarak
Ik Arz-e-Tamanna Hai So Ham Kartay Rahain Ge

Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge

Pindaar Ke Khogar Ko Naqaam Bhi Dekho Ge?
Aaghaaz Se Waaqif Ho Anjaam Bhi Dekho Ge?
Rungini-o-Duniya Se Mayoos Sa Ho Jana……
Dukhta Howa Dil Le Kar Tanhaayi Mein Kho Jaana
Tarsi Howi Nazron Ko Hasrat Se Jhuka Lena
Faryaad Ke Tukron Ko Aahon Mein Chhupa Lena
Raaton Ki Khamooshi Mein Chhup Kar Kubhi Ro Lena
Majboor Jawaani Ke Malboos Ko Dho Lena
Jazbaat Ki Wusat Ko Sajdon Se Basaa Lena
Bhooli Howi Yaadon Ko Seenay Se Laga Lena……!

Phir nazar mein phool mehke

Phir nazar mein phool mehke, Dil mein phir shamain jali’n,
Phir tassawur ne liya uss bazmm mein jaane ka naam..

Bara hai dard ka rishta..

Bara hai dard ka rishta, Yeh dil ghareeb sahi,
Tumhare naam pe aayen ge ghamgusaar chale..

Dono Jahan Teri Mohabbat Main Haar Ke

Dono jahan teri mohabbat main haar ke,
Wo ja raha hai koi shab-e-gham guzaar ke,
Viraan hai maikada khum-o-sagar udaas hai,
Tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke,
Ik fursat-e-gunah mili, wo bhi chaar din,
Dekhe hain ham ne hausale parvar-digaar ke,
Duniya ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil fareb hain gham rozgaar ke,
Bhule se muskura to diye the wo aaj ‘faiz’,
Mat puch val-vale dil-e-na-kardahkaar ke..

Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad

Hum Ke Thehray Ajnabi Itni Madaraton Ke Baad
Phir Banain Ge Aashna Kitni Mulaqaaton Ke Baad ?
Kub Nazar Mein Aaye Gi Be-Daagh Sabzay Ki Bahaar
Khoon Ke Dhabbay Dhulain Ge Kitni Barsaaton Ke Baad ?
Thay Bohat Be-Dard Lamhay Khatam-e-Dard-e-Aashiqui Ke
Theen Bohat Be-Meher Subhain Meherbaan Raaton Ke Baad
Dil Tou Chaaha Per Shikast-e-Dil Ne Mohlat Hee Na Di
Kuch Gilay Shikway Bhi Kar Laitay Manajaaton Ke Baad
Un Se Jo Kehnay Gaye Thay “Faiz” Jaan Sadqa Kye
An Kahee Hee Reh Gayi Wo Baat Sab Baaton Ke Baad

Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain

Naseeb Aazmaane Ke Din Aa Rahe Hain
Qareeb Un Ke Aane Ke Din Aa Rahe Hain
Jo Dil Se Kaha Hai Jo Dil Se Suna Hai
Sab Un Ko Sunane Ke Din Aa Rahe Hain
Abhi Se Dil-O-Jaan Sar-E-Raah Rakh Do
Ke Lutne Lutaane Ke Din Aa Rahe Hain
Tapakne Lagi Un Nigaahon Se Masti
Nigahain Churaane Ke Din Aa Rahe Hain
Saba Phir Hamain Puuchti Phir Rahi Hai
Chaman Ko Sajaane Ke Din Aa Rahe Hain
Chalo “Faiz” Phir Se Kahin Dil Lagain
Suna Hai Thikaane Ke Din Aa Rahe Hain

Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya

Dunyaa ne teri yaad se begaana kar diya,
Tujh se bhi dil-fareb hain gham rozgaar ke…

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se

Hasrat-e-deed mein guzraan hain zamaney kab se
Dasht-e-umeed mein gardaan hain dawaney kab se
Der se ankh mein utra nahin askhon ka azaab
Apne zimey hain tera farz najaney kab se
Kis tarah paak ho be-arzu lamhon ka azaab
Dard aya nahin darbaar sjanaey kab se
Sar Karo saaz ke cherrein koi dil sooz ghazal
Dhoondta hai dil-e-shoreeda bahaney kab se
Pur karo jaam ke shayed ho isi lahta rawaan
Rok rakha hai jo ik teer kazzaa ne kab se
Faiz phir kab kisi maktal mein karain ge abad
Lab pe veeran hain shaheedon ke fasaney kab se

Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain

Dil mein ab yun tere bhooley howey gham ate hain
Jese bichre huye kaabey mein sanam ate hain
Ek ek kar ke huye jate hain diye tarey roshan
Meri manzil ki taraf tere kadam ate hain
Raqs-e-meh tez karo, Saaz ki leh tez karo
Suye meh-khana safeeran-e-haram ate hain
Kuch humain tou nahin ehsan uthaney ka dimagh
Woh tou jab ate hain mayel be-karam ate hain
Aur kuch der na guzrey shab-e-furkat se kaho
Dil bhi kam dukhta hai, woh yaad bhi kam ate hain

Hath uthayen hum bhi

aiye hath uthayen ham bhi
ham jinhen rasm-e-dua yad nahin
ham jinhen soz-e-mohabbat k siwa
koi but, koi khuda yad nahin
aiye arz guzaren ki nigar-e-hasti
zahar-e-imaroz main shirini-e-fardan bhar de
wo jinhen tabe garanbari-e-ayyam nahin
unki palkon pe shab-o-roz ko halka kar de
jinki ankhon ko rukh-e-subh ka yara bhi nahin
unki raton main koi shama munawwar kar de
jin k qadamon ko kisi rah ka sahara bhi nahin
unki nazron pe koi rah ujagar kar de
jinka din pairavi-e-kazbo-riya hai unko
himmat-e-kufr mile, jurat-e-tahaqiq mile
jink sar muntazir-e-teg-e-jafa hain unko
dast-e-qatil ko jhatak dene ki taufiq mile
ishq ka sarr-e-nihan jan-tapan hai jis se
aj iqrar karen aur tapish mit jaye
harf-e-haq dil main khatakta hai jo kante ki tarah
aj izhar karen or khalish mit jaye


No comments: