Dosti /Friendship Shayari

Dosti /Friendship Shayari

Urdu Dosti Shayari is poetry on friendship. Some say it Friendship Shayari and some call it Dosti ShayariUrdu Friendship Poetry is used to express your love with friends. We have collected a huge collection ofUrdu Friendship Poetry for you, so you can read it and send them to your friends.

Gulistaan main bahaaron ke qadam aatey hain..

Jab gulistaan main bahaaron ke qadam aatey hain,
Yaad bhoole huye yaaron ke qaram aatey hain..

Wahan rahe to kisi ne bhi hanss ke baat na ki..

Wahan rahe to kisi ne bhi hanss ke baat na ki,
Chale watan se to sab yaar hath milaane aye..

Aik hi yaar puraana achaa..

Yaar Qateel naye logon se,
Aik hi yaar puraana achaa..

Issey khuloos kaho ya hamari nadaani..

Issey khuloos kaho ya hamari nadaani,
Jo koi hanss ke mila uss se dosti karli..

Dekha jo teer kha ke dushmanon ki taraf..

Dekha jo teer kha ke dushmanon ki taraf,
Apne hi doston se mulaqaat ho gayi..

Shayed kabhi khuloos ko manzil na mil sake..

Shayed kabhi khuloos ko manzil na mil sake,
Wabasta hai mufaad har ik dosti ke saath..

Jo dil ko acha lagta hai usi ko dost kehta hon..

Jo dil ko acha lagta hai usi ko dost kehta hon,
Munafiq ban ke rishton ki siaasat mein nahin karta..

Kis aasaani se woh tootay huye dil jorr deta hai..

Kis aasaani se woh tootay huye dil jorr deta hai,
Khushii se bolnaa jis shakhss ka mamool ho jaye..

Dosti jab kisi se ki jaaye..

Dosti jab kisi se ki jaaye,
Dushmanon ki bhi raaye li jaye..

Dushmano ki jafaa ka khauf nahin..

Dushmano ki jafaa ka khauf nahin,
Doston ki wafaa se dartey hain..

Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta..

Waar is qadar shadeed ke dushman hi karta,
Chehra magar zaroor kissi ashna’aa ka tha..

Bohat Qareeb Se Loota Hay Mere Doston Ne..

Jata’aa Jata’aa Ke Mohabbat, Dikha Dikha Ke Khuloos,
Bohat Qareeb Se Loota Hay Mere Doston Ne Mujhey!

Bicharr ke to khat bhi na likhe yaron ne..

Bicharr ke to khat bhi na likhe yaron ne,
Kabhi kabhi ki adhoori si baat se bhi gaye..

De diya us ne mohabbat se mohabbat ka jawab..

De diya us ne mohabbat se mohabbat ka jawab,
Haatma ho gya ab ishq ke fasaaney ka..

Dushmano’n se mohabbat hone lagi hai mujhe..

Dushmano’n se mohabbat hone lagi hai mujhe,
Jese jese doston ko aazmaata ja raha hoon mein..

No comments: