Latest Shayari

Latest Shayari

Urdu Latest Shayari

Kahin pe ruk bhi sakta hai hamare ishq ka sauda..

Kahin pe ruk bhi sakta hai hamare ishq ka sauda,
Ke jaana’n hadh se aagey khasaara* ja nahin sakta..
(khasaara:loss, nuksaan)

Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese..

Aanchal se mera khoon utarta bhi to kese,
Woh kar ke mujhe qatal mukarta bhi to kese,
Yaadon ki hawaa aankh se takraa ke jo guzri,
Baadal ne barasnaa tha theherta bhi to kese,
Jo waqt ke saath aur bhi ho jata hai gehra,
Woh zakham-e-nihaa’n bharta bhi to kese,
Ambar bhi bhulaa deta hai tootay huye taarey,
Main kya hoon woh yaad mujhe rakhta bhi to kese,
Nadaan they hameen kafan sar per baandh ke aaye,
Bedard woh jaan se guzarta bhi to kese..

Har suu teri qudrat ke jalwe hain ya rab..

Har suu teri qudrat ke jalwe hain ya rab,
Hairaan hoon do ankhon se dekhoon kya kya..

Is jahan mein mazdoor sa darbadar koi nahin..

Is jahan mein mazdoor sa darbadar koi nahin,
Jis ne banaye sab ke ghar us ka ghar koi nahin..

Maut ne chupke se najaney kya kaha..

Maut ne chupke se najaney kya kaha,
Aur zindagi khamosh ho ker reh gayi..

Surat ki deewani duniya..

Surat ki deewani duniya,
Mann ke andar jhanke kon..

Main faqeeri se hi karta hoon tijaarat aksar..

Main faqeeri se hi karta hoon tijaarat aksar,
Aik paise mein jo lakhon ki dua dete hain..

Apne kirdaar ko mausam se bachaye rakhna..

Apne kirdaar ko mausam se bachaye rakhna,
Laut kar phool main wapis nahi aati khushbu…

Muskuraa kar kalaam kartey ho..

Muskuraa kar kalaam kartey ho,
Aadatein kyun kharaab kartey ho..

Ankhen ho gayin bojhal meri..

Aa bhi jao ab ke ankhen ho gayin bojhal meri,
Neend aa jaye gi, dar khulaa reh jaye ga..

Kon chahe ga tumhe meri tarha..

Kon chahe ga tumhe meri tarha,
Ab kisi se na mohabbat karna..

hui hai shaam to ankhoon may bus gya phir tu..

hui hai shaam to ankhoon may bus gya phir tu,
kahan gya hai meray shyhar k musafir tu,
main jaanta huun duniya tujhay badal dy ge,
main maanta hun aisa nahi bazahir tu,
hansi khushi sy bechra ja agar becharna hai,
yea har mukaam py kya sochta hai akhir tu,
faraz tu ny ussay mushkaloon may daal diya ,
zamana sahab-e-zar aur sirf shyer tu…

Yeh arzu thi tujhay gul k rubaru kartay …

Yeh arzu thi tujhay gul k rubaru kartay,
hum aur bulbul-e-baytaab guftugu kartay,
pyambar na mysar huaa too huub huaa,
zaban-e-gyer say kya sharh-e-arzu kartay,
meri tarahsay meh-o-mehwer b hain awara,
kisi habib ke ye b hain justuju kartay ,
jo daktay tyre zangir zulp ka alam,
asayer honay ke azad aezu kartay…

Hosla tujh ko na tha mujh sey juda honay ka.!

Hosla tujh ko na tha mujh sey juda honay ka.!
Warna kajal teri ankh’on ka na phela hota..

Rehbar’on sey jab shaor-e-rehbar bhi chin gaya..

Rehbar’on sey jab shaor-e-rehbar bhi chin gaya..
Ab yaha’n azadi-e-dour awam aya to kiya!!

No comments: