Eid Shayari

Eid Shayari

Eid Shayari is poetry on eid festival. Eid Shayari and Eid Poetry is the same thing. Eid Poetry is read when eid festival is near and people need to wish their loved ones Eid wishes. Bakra Eid Shayari is another keyword forEid ShayariEid Shayari is loved all over the world, wherever the muslims are. Muslims use Urdu Eid Poetry to wish their friends and family eid. The word “Eid Mubarak” is used to wish eid greetings.


Ab eid manaata koi nahin..

Saarey sheher mein,
Kal eid thi,
Baarish mein bheegi thi,
Ke shayed royi thi,
Bohat udaas eid thi,
Usey bhi shayed kisi ki,
Tamanaa-e-deed thi,
Be’kal si mere ghar ke aas paas,
Pareshaan phir rahi thi,
Dil per parre aahini qufl*,
Dar per dikhayi diye hon ge,
Jo aangan main jhaanka to,
Be’hanaayi hath,
Binaa kisi ke sath,
Na ghar ki sajaawatt,
Na rangeen poshaak*,
Dekh kar sab,
Socha hoga,
Shayed is ghar mein,
Sapne sajaata koi nahin,
Bahar se aata koi nahin,
Aur kisi ki yaad main kho kar,
Ab eid manaata koi nahin,
Ab eid manaata koi nahin…
(aahini qufl:iron lock, lohey ka taala)(poshaak:suit, kaprron ka jorra)

Gile shikwe mittaa kar muskurao, eid ka din hai..

Gile shikwe mittaa kar muskurao, eid ka din hai,
Purani ranjishon ko bhool jao, eid ka din hai..

Qasam hai apni ankhon ki, hamari eid ho jaye..

Tumhare chaand se chehre ki agar deed ho jaye,
Qasam hai apni ankhon ki, hamari eid ho jaye..

Main hoon tera khayal hai chand raat hai..

Main hoon tera khayal hai chand raat hai,
Dil dard se niddhaal hai aur chand raat hai,
Eid aayi hai magar dil bechaini se bhara hai,
Teri be’dardiyon ka kamaal hai aur chand raat hai,

Des mein nikla hoga kahin eid ka chaand..

Des mein nikla hoga kahin eid ka chaand,
Pardes mein ankhen kayi namm hon gi..

Eid pe milne ka vaada tha jis ka..

Eid pe milne ka vaada tha jis ka,
chaand ka hamrah us ka rasta dekhoon gi,
Koi to aesi bhi eid aa jaye gi,
Ujrre dil ko mein bhi basta dekhoon gi..

Eid ka rang chehre se chupaaon kese..i

Eid ka rang chehre se chupaaon kese,
Tu meri rooh main dhoondne jaon kese,
Mera har din teri chahat mein eid ka din,
Main sirf aik hi din mehndi lagaaon kese..

Kitne tarse huye hain khushiyon ko..

Kitne tarse huye hain khushiyon ko,
Woh jo eido’n ki baat karte hain..

Kash iss eid ke haseen lamhon mein..

Kash iss eid ke haseen lamhon mein,
Meri zaat-e-gumshuda tujhe yaad aye..

Chaand dekha to yaad ayi hai teri surat..

Chaand dekha to yaad ayi hai teri surat,
Hath uthte hain magar harf-e-dua yaad nahin..

Hum kis se kahen, kis se sunain Eid Mubarak ??

Dastoor hai duniya ka magar yeh to bataao,
Hum kis se kahen, kis se sunain Eid Mubarak ??

Din bhar khafaa thi mujh se magar chaand raat ko..

Din bhar khafaa thi mujh se magar chaand raat ko,
Mehendi se mera naam likha us ne haath per..

Chaand nikla to main logon se lippat kar roya..

Chaand nikla to main logon se lippat lippat kar roya,
Gham ke aansuu they jo khushiyon ke bahaney nikley..

No comments: