Sahir Ludhianvi Poetry


Sahir Ludhianvi is well known poet from India. Here we have random collection of his poetries from his several poetry books.



Mohabbat tark ki mene, garebaan sii liya mene..

Mohabbat tark ki mene, garebaan* sii liya mene,
Zamane ab to khush ho zeher yeh bhi pii liya mene,
Abhi zinda hoon magar sochta rehta hoon khalvat* me,
Ke ab tak kis tamanna ke sahare jii liya mene,
Unhe apnaa nahin sakta magar itna bhi kya kamm hai,
Ke kuch muddat haseen khawbon mein kho ker jii liya mene,
Bass ab to daaman-e-dil chorr do bekaar umeedo,
Bohat dukh sehh liye mene, bohat din jii liya mene..
(garebaan;collar)(khalvat;privacy)


Hawas naseeb e nazar ko kahien qarar nahi..

Hawas naseeb e nazar ko kahien qarar nahi,
Main muntazir hun magar tera intazar nahi,
Humi say rang e gulistan humi say rang e bahar,
Humi ko nazm e gulistan pey ikhtayar nahi,
Abhi na cher mohabbat kay geet ay matrab,
Abhi hayat ka mahool khushgawar nahi,
Tumharey ehad e wafa ko main ehad kya samjhon,
Mujhey khud apni mohabbat ka aitbar nahi,
Na janey kitney giley is me muztarib hain nadeem,
Wo ek dil kisi ka gila guzar nahi,
Gurez ka nahi qail hayat sey lekin,
Jo sach kahon to mujhey maot nagwar nahi,
Ye kis muqaam pey pohncha dia zamaney ney,
Kay ab hayat pey tera bhi ikhtayar nahi.


Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!

Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!
Koi suhana iqrar kijiye,
O sharmaana kesa, ghabrana kesa,
Jeene se pehle mar jaana kesa,
Aanchlon ki chaaon mein,
Ras bhari fizaon mein,
Is zindagi ko gulzar kijiye,
Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye,
Aati baharain, jaati baharain!
Kab se khari hain bandhey qatarain,
Chaa rahi hai bekhudi,
Keh rahi hai zindagi,
Jee ki umangain beidaar kijiye,
Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!
Dil se bhula ke ruswaayion ko,
Jannat bana le tanhayion ko,
Aarzuu jawan hai,
Waqt meherbaan hai,
Dil ko na jane hosheyaar kihjiye,
Dil Se Mila Ke Dil Pyar Kijiye!
(Bandhe Qatarain:Queue)(Umangain:Wishes)(Beidaar:Wake Up)(Ruswaayion:Insults)


Sangay mar-mar se tarasha hua ye shukh badan

Sangay mar-mar se tarasha hua ye shukh badan
Itna dil kash hai ke apnanay ko ji chahta hai
surkh honton mein terkti hai ye rangeen sharaab
jisay pe kar bhahak janay ko ji chahta hai
naram seenay mein darktay hain woh nazuk tufaan
jin ki lahroon mein utar janay ko ji chahta hai
Tum se kya rishta hai, kab se hai, yeh maloom nahin,
Lekin is hussn pe mar janey ko jee chahta hai,
Rakh ley kal ke liye yeh doosri pazeb dil,
Kal is bazzm mein phir aney ko jee chahta hai,
Be-khabar soye hain woh loot ke neendain meri,
Jazba-e-dil pe tarss khaney ko jee chahta hai,
Kab se khamosh ho aye jane jahan kuch to bolo,
Kya abhi bhi sitam aur dhaney ko jee chahta hai,
Chorr kar tum ko kahan chain miley ga hum ko,
Yahin jeeney yahin mar janey ko jee chahta hai,
Apne hathon se sanwara hai tumhein qudrat ne,
Dekh ker dekhte reh jane ko jee chahta hai,
Noor hi noor jhalakta hai haseen chehre se,
Bas yahin sajde mein gir janey ko jee chahta hai,
Mere daman ko koi aur na chuu paye ga,
Tum ko chuu kar kasam yeh khaney ko jee chahta hai,
Chand chehra hai tera aur nazar hai bijli,
Aik ik jalwe pe mar janey ko jee chahta hai,
Chand ki hasti hi kya samne jab suraj ho,
Aap ke kadmon mein mitt janey ko jee chahta hai…
(Sangay Mar-Mar:A Type of Precious Stone)


Gham is kadar barhey ke mein ghabra ke pee gaya


Gham is kadar barhey ke mein ghabra ke pee gaya,
Is dil ki be-basi pe tarss kha ke pee gaya,
Thukra raha tha mujh ko bari der se jahan,
Main aaj sab jahan ko thukraa ke pee gaya..

No comments: