Sufi Poetry

Sufi Poetry

Sufi poetry is poetry on selfless experiencing and actualization of the Truth. These sufi poems and ghazals communicate through symbolic expressions the depth of sufi spirituality, the inner states of mystical love, and the Unity of Being. They reveal aspects of Sufism and of traveling the sufi path that are not accessible in prose writings.
You can now send all these sufi poetry to mobile phones as text messages.

Sikandar khush nahin loot kar dolat zamane ki..

Sikandar khush nahin loot kar dolat zamane ki,
Lutaa kar sab kuch qalandar raqss karta hai..

Theher jaao to nahin hai bastiyon main raasta..

Theher jaao to nahin hai bastiyon main raasta,
Chal parro to paniyon main rah guzar maujood hi..

Tu ne kaha tha, tera kahaa kyun nahi hua..

Haq fataah’yaab* mere khudaa kyun nahi hua,
Tu ne kaha tha, tera kahaa kyun nahi hua,
Jab hashar iss zameen per uthaaye gaye to phir,
Barpaa yahin pe roz-e-jazaa kyun nahi hua..
(fataah’yaab:successful, kamyaab)

Jo bhi de ga mera khuda de ga..

Aadmi aadmi ko kya de ga,
Jo bhi de ga mera khuda de ga,
Mera qaatil hi mera munsib* hai,
Kya mere haq mein faisla de ga..

Sodagari nahin yeh ibaadat khuda ki hai..

Sodagari nahin yeh ibaadat khuda ki hai,
O bekhabar jazaa ki tamanna bhi chorr de..

Wohi mehfooz rakhe ga mere ghar ko balaaon se..

Wohi mehfooz rakhe ga mere ghar ko balaaon se,
Jo barish mein shajjar se ghaunsle girne nahin deta..

Bache faraib kha kar chittaayi per so gaye..

Bache faraib kha kar chittaayi per so gaye,
Ek maan ubaalti rahi pathar tamaam raat..

Sholaa hoon bharrakne ki guzarish nahin karta..

Sholaa hoon bharrakne ki guzarish nahin karta,
Haq muu se nikal jata hai koshish nahin karta..

Jo yakeen ki raah per chal parre..

Jo yakeen ki raah per chal parre, Unhe manzilon ne panaah di,
Jinhe vassvason ne daraa diya, woh qadam qadam per behek gaye..

Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamaasha hai..

Shohrat ki bulandi bhi pal bhar ka tamaasha hai,
Jis ddaal pe bethe ho woh toot bhi sakti hai..

Baaz oqaat kisi aur ke milne se..

Baaz oqaat kisi aur ke milne se adam,
Apni hasti sa mulaqat bhi ho jaati hai..

Behka to bohat behka, sambhlaa to wali thehra..

Behka to bohat behka, sambhlaa to wali thehra,
Is khaak ke putlay ka har rang niraala hai..

Rahi taleem mashriq mein..

Rahi taleem mashriq mein, Na maghrib mein rahi ghairat,
Yeh jitney parhty jatey hain, jahalat barhti jati hai..

Khudaya apne farishtey na bhej duniyaa mein..

Khudaya apne farishtey na bhej duniyaa mein,
Mein aadmi hoon farishton ke sath kese rahoon..

Chottiyan chuu kar guzartey hain..

Chottiyan chuu kar guzartey hain, barastey kyon nahin,
Baadlon ki aik surat aadmi jesi bhi hai..

No comments: