Barish Shayari

Barish Shayari

Barish Shayari is poetry on rain. Barish Poetry is for romantic and sensitive people who love rain. Barish Poetry is a new section at Ranjish.com so it will take some time to fill it up. Keep coming back for new rain poetries.

Kya rog de gayi hai yeh naye mausam ki barish..

Kya rog de gayi hai yeh naye mausam ki barish,
Mujhe yaad aa arahe hain mujhe bhool jane waley..

Teri qurbat bhi nahin hai muyassar..

Teri qurbat bhi nahin hai muyassar,
Aur din bhi barishon ke aa gaye hain..

Barish aur mohabbat dono hi bohat yaadgar hote hain

Barish aur mohabbat dono hi bohat yaadgar hote hain,
Farq sirf itna hai,
Barish main jism bheeg jata hai aur mohabbat main ankhain..

Ab kon se mausam se koi aas lagaye

Ab kon se mausam se koi aas lagaye,
Barsaat mein bhi yaad na jab un ko hum aye..

Rim jhim rim jhim baras rahi hai..

Rim jhim rim jhim baras rahi hai,
Yaad tumhaari qatraa qatraa…

Is Baarish Kay Mausam Main Ajeeb Si Kashish Hai..

Is Baarish Kay Mausam Main Ajeeb Si Kashish Hai,
Na Chahte Howay Bhi Koi Shidat Say Yaad Aata Hai…

Ye barishain bhi tum si hain..

Ye barishain bhi tum si hain,
Jo baras gayi tou bahaar hain,
Jo thehar gayi tou qaraar hain,
Kabhi aa gayi yunhi be’sabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab,
Kabhi shor hai, kabhi chup si hain,
Ye barishain bhi tum si hain,
Raat ko ik dabi hui si raakh ko,
Kabhi yun hua ke bujha dia,
Kabhi khud se khud ko jala dia,
Kahin boond boond mein gum si hain,
Ye barishain bhi tum si hain..

Kai rog dey gai hai naye mausmon ki barish

Kai rog dey gai hai naye mausmon ki barish,,
Mujhay yaad aa rahay hain mujhay bhool janay walay..

Barish hui to ghar ke dareeche se lage ham

Barish hui to ghar ke dareeche se lage ham,
Chup-chaap sogwaar tumhen sochte rahe…..!!!

Roz aatay Hain Baadal ?Abr-E-Rehmat lay Kar

Roz aatay Hain Baadal ?Abr-E-Rehmat lay Kar,
??Meray Sheher Ke Aamaal Unhain Brasnay Nahin Detay…

Theharta ek bhi manzar nai veran ankho mai

Theharta ek bhi manzar nai veran ankho mai
hamary shehar sy badal bhi be barsy nikalta hy

Kabhi Shokh Hein.. Kabhi Gum Si Hein..

Kabhi Shokh Hein..
Kabhi Gum Si Hein..
Ye Baarishen Bhi..
Tum Si Hein.

Kal halki halki barish thi, Sard hawa ka raqs bhi tha

Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha
Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay
Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay
Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin
Kal yaad bohut tum aye thay
Kal yaad bohut tum aye thay …